Monday, 9 February 2015

GAIR SAHABI KE LIYE RADI ALLAH ANHU KEHNA

Sawaal : Hazrat ham waliyon ke naam ke age sahaba ka laqab qu dete hain jayse khwaja gareeb nwaz rahmatullaah alaaih ke bjaye raziallaahotala an quhu kiyo lagate hai kiya hum unko sahaba ka laqab dete hain REHNUMAI FARMAYN.

Jawaab:
Gair e Sahaba ke Liye Razi-Allahu Ta'ala anh ka Lafz istemaal karna jaayez hai ..

Durr e Mukhtar Ma' Shaami Jild 5 safah 480 me hai "Shaba ke liye Razi-Allahu Ta'ala Anh kehna Mustahab hai aur Taabe'in wagaira ke liye Rahmatullah Ta'ala Alaih Mustahab hai aur is ka ulta yaani sahaba ke liye Rahmatullah Ta'ala Alaih aur Tabe'in aur un ke ilawa Ulama o Mashaikh ke liye Raajeh Mazhab par Razi-Allahu Ta'ala Anh bhi Jaayez hai ..

Hadrat Allama Shahabuddin Khifaaji Rahimahullah Naseemur Riyaz me Farmate hain "Ambiya e kiram Alayhimussalato Wassalam ke ilawa Aimma wagaira Ulama o Mashaikh ko Gufraan o Raza se Yaad kiya jaaye . To Gafarallahu Ta'ala Lahu ya Razi-Allahu Ta'ala anh kaha jaaye "

Lehaza Ma'loom hua ke Gair e Sahab ke liye bhi Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Istemaal jaayez o durust hai..

Isi wajah se Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Rahimahullah ne Ashi'at ul Lam'aat me Hadrat Owais e Qarani Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai (jab ke aap Tabe'i hain)

Hadrat Imam e A'zam Abu Haneefa aur Imam Shafa'i ko Allama Ibn e Abideen Shami Rahimahullah ne Shami me Kai jagaho par Razi-Allahu Anh Likha hai.. Halaanke Imam Shaf'i Tabe'i bhi nahi ..

Allama Ibn e Hajr Asqalani Ne Fathul Bari Sharh e Bukhari me Imam e Bukhari ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ..

Imam Nawavi ne Sharah e Muslim me Imam Muslim ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai..

Allama khifaaji ne Allama Qazi Eyaaz ko Naseemur Riyaz me Razi-Allahu Anh likha hai..

Hadrat Shaikh Abdul haq Muhaddis Dehlawi ne Ashi'atul Lam'at aur Akhbar ul Akhyaar me Kai Maqamaat par Huzoor Gaus e Pak ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ..

Allama Abul Hasan Ali bin Yusuf Shutnoni Rahimahullah ne Bahjatul Asrar shareef me Bahot se Maqamaat par Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai..

Hidaaya me Sahib e Hidaya ko un ke Shagird ne kai Maqamaat par Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ......

👆👆👆👆👆👆
in tamam shawahid se roz e raushan ki tarah waazeh ho gaya k "Razi-Allahu Ta'ala Anh" ka lafz sahaba e kiram ke sath khas nahi hai .. agar ye lafz un ke sath khas hota yaani gair e sahaaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likhna jaayez na hota to itne bade bade Muhaqqiqeen jo apne zamaane me Ilm ke Aftab o Mahtaab the ye Log Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh har giz na likhte ...

Yahan tak Aam deobandi wahabi jo Razi-Allahu Ta'ala Anh ko Sahaba ke sath khas samajhte hain aur Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh kehne par ladte jhagarte hain un ke peshwa kasim nanotvi aur Raseed Gangohi ko bhi Razi-Allahu Ta'ala Anhuma likha gaya hai ... jaisa k Tazkiratur Rasheed Jild 1 safah 38 par hai k "Maulana Muhammad Kasim saheb o Maulana Rasheed Ahmad Saheb Razi-Allahu anhuma chand roz ke baad aise hum sabaq bane k Akhirat me bhi sath na chhoda" ....

Qur'an e kareem se bhi is baat ki Ta'eed hoti hai k Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Lafz Sahab e Kiraam ke Sath Khas nahi hai ..
Surah Al Baiyyenah me hai
"رضي الله عنهم ورضوا عنه ذلك لمن خشي ربه"
Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu Anh un logo ke liye hai jo apne Rab se daren .. jaisa ke Tafaseer me waazeh hai ke "Raza Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu anh un logo ke liye hai jin ke dil me Rab ki Khashiyyat ho" ...

Aur Rab ki Khashiyyat Ulama hi ka Khaassa hai balke Aimmah farmate hain ke Alim sirf wahi shaks hai jise Khuda e Azza wa Jalla ki Khashiyyat Hasil ho (Tafseer e khazin, Mualimut Tanzeel wagairah)

Saabit hua ke Razi-Allahu Ta'ala anh sirf Baa Amal Ulama o Mashaikh ke liye hai ... Magar ye Lafz chunke Urf e Aam me Bada Muaqqar hai yahan tak ke bahot se log ise sahaba e kiraam hi ke liye khas samajhte hain ... lehaaza ise har ek ke liye na istemaal kiya jaaye balke ise bade bade Ulama o Mashaaikh hi ke liye istemaal kiya jaaye jaise k hamare buzrgo ne kiya hai ....

wa-Allahu Ta'ala A'lam.

Answer from.

📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri
Khalifa tajussharia