Monday, 9 February 2015

GAIR SAHABI KE LIYE RADI ALLAH ANHU KEHNA

Sawaal : Hazrat ham waliyon ke naam ke age sahaba ka laqab qu dete hain jayse khwaja gareeb nwaz rahmatullaah alaaih ke bjaye raziallaahotala an quhu kiyo lagate hai kiya hum unko sahaba ka laqab dete hain REHNUMAI FARMAYN.

Jawaab:
Gair e Sahaba ke Liye Razi-Allahu Ta'ala anh ka Lafz istemaal karna jaayez hai ..

Durr e Mukhtar Ma' Shaami Jild 5 safah 480 me hai "Shaba ke liye Razi-Allahu Ta'ala Anh kehna Mustahab hai aur Taabe'in wagaira ke liye Rahmatullah Ta'ala Alaih Mustahab hai aur is ka ulta yaani sahaba ke liye Rahmatullah Ta'ala Alaih aur Tabe'in aur un ke ilawa Ulama o Mashaikh ke liye Raajeh Mazhab par Razi-Allahu Ta'ala Anh bhi Jaayez hai ..

Hadrat Allama Shahabuddin Khifaaji Rahimahullah Naseemur Riyaz me Farmate hain "Ambiya e kiram Alayhimussalato Wassalam ke ilawa Aimma wagaira Ulama o Mashaikh ko Gufraan o Raza se Yaad kiya jaaye . To Gafarallahu Ta'ala Lahu ya Razi-Allahu Ta'ala anh kaha jaaye "

Lehaza Ma'loom hua ke Gair e Sahab ke liye bhi Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Istemaal jaayez o durust hai..

Isi wajah se Shaikh Abdul Haq Muhaddis Dehlawi Rahimahullah ne Ashi'at ul Lam'aat me Hadrat Owais e Qarani Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai (jab ke aap Tabe'i hain)

Hadrat Imam e A'zam Abu Haneefa aur Imam Shafa'i ko Allama Ibn e Abideen Shami Rahimahullah ne Shami me Kai jagaho par Razi-Allahu Anh Likha hai.. Halaanke Imam Shaf'i Tabe'i bhi nahi ..

Allama Ibn e Hajr Asqalani Ne Fathul Bari Sharh e Bukhari me Imam e Bukhari ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ..

Imam Nawavi ne Sharah e Muslim me Imam Muslim ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai..

Allama khifaaji ne Allama Qazi Eyaaz ko Naseemur Riyaz me Razi-Allahu Anh likha hai..

Hadrat Shaikh Abdul haq Muhaddis Dehlawi ne Ashi'atul Lam'at aur Akhbar ul Akhyaar me Kai Maqamaat par Huzoor Gaus e Pak ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ..

Allama Abul Hasan Ali bin Yusuf Shutnoni Rahimahullah ne Bahjatul Asrar shareef me Bahot se Maqamaat par Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai..

Hidaaya me Sahib e Hidaya ko un ke Shagird ne kai Maqamaat par Razi-Allahu Ta'ala Anh likha hai ......

👆👆👆👆👆👆
in tamam shawahid se roz e raushan ki tarah waazeh ho gaya k "Razi-Allahu Ta'ala Anh" ka lafz sahaba e kiram ke sath khas nahi hai .. agar ye lafz un ke sath khas hota yaani gair e sahaaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh likhna jaayez na hota to itne bade bade Muhaqqiqeen jo apne zamaane me Ilm ke Aftab o Mahtaab the ye Log Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh har giz na likhte ...

Yahan tak Aam deobandi wahabi jo Razi-Allahu Ta'ala Anh ko Sahaba ke sath khas samajhte hain aur Gair e Sahaba ko Razi-Allahu Ta'ala Anh kehne par ladte jhagarte hain un ke peshwa kasim nanotvi aur Raseed Gangohi ko bhi Razi-Allahu Ta'ala Anhuma likha gaya hai ... jaisa k Tazkiratur Rasheed Jild 1 safah 38 par hai k "Maulana Muhammad Kasim saheb o Maulana Rasheed Ahmad Saheb Razi-Allahu anhuma chand roz ke baad aise hum sabaq bane k Akhirat me bhi sath na chhoda" ....

Qur'an e kareem se bhi is baat ki Ta'eed hoti hai k Razi-Allahu Ta'ala Anh ka Lafz Sahab e Kiraam ke Sath Khas nahi hai ..
Surah Al Baiyyenah me hai
"رضي الله عنهم ورضوا عنه ذلك لمن خشي ربه"
Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu Anh un logo ke liye hai jo apne Rab se daren .. jaisa ke Tafaseer me waazeh hai ke "Raza Yaani Razi-Allahu Anhum wa Razu anh un logo ke liye hai jin ke dil me Rab ki Khashiyyat ho" ...

Aur Rab ki Khashiyyat Ulama hi ka Khaassa hai balke Aimmah farmate hain ke Alim sirf wahi shaks hai jise Khuda e Azza wa Jalla ki Khashiyyat Hasil ho (Tafseer e khazin, Mualimut Tanzeel wagairah)

Saabit hua ke Razi-Allahu Ta'ala anh sirf Baa Amal Ulama o Mashaikh ke liye hai ... Magar ye Lafz chunke Urf e Aam me Bada Muaqqar hai yahan tak ke bahot se log ise sahaba e kiraam hi ke liye khas samajhte hain ... lehaaza ise har ek ke liye na istemaal kiya jaaye balke ise bade bade Ulama o Mashaaikh hi ke liye istemaal kiya jaaye jaise k hamare buzrgo ne kiya hai ....

wa-Allahu Ta'ala A'lam.

Answer from.

📝 (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri
Khalifa tajussharia

Sunday, 11 January 2015

Jhande Lehrane ka sabut

☀Jhande Lehrana kiski Sunnat ?

➡Reference No.01...

🎆Hazrate Amina رضى الله تعالى عنه
farmati hain ki,

🌠"Jab Muhammad ﷺ Ki Wiladat Hui Us waqt Hazrat Jibrail علیہ السلام Ne 3 Jhande Nasab Kiye Ek Magrib Me Ek Mashrik Me Aur Ek Kaabe Ki
Chat par"

💢Is Riwayat Ko Shah Abdul Haq Muhaddith Dahelvi ﺭﺣﻤﺘﻪ ﺍﻟﻠﻪ عليه Ne Apni Kitab "Madarijun nabuwa" Jild 2 Me Naqal Kiya Hai....

➡Reference No.02..

🎆Hadees Shareef main aata hai k jub SARKAR ﷺ Madina shareef main dakhil hue to Aap ke haath main sabz jhanda tha.

📕(Wafa al wafa, Vol:1, Pg:243).

➡Reference No.03...

🎆Huzoor ﷺ ki peydaish per Hazrat Jibraeel علیہ السلام ney jhandy garhey.

📕(Khasais Al qubra, Vol:1, Page:82)

☀Naat-e-Mustafa ﷺ Padhna kiski Sunnat ?

➡Reference No.01...

🎆Huzoor ﷺ Hazrat Hassan رضی الله عنہ ke liye Masjid-e-Nabawi shareef me Mimbar rakhte or Hazrat
Hassan رضی الله عنہ us par khade ho kar Huzoor ﷺ ki shaan-e-aqdas me naatia ashaar padhte the or Huzoor ﷺ farmate:

🌠'Jab tak Hassan mere baare me Naatia or fakharia ashaar padhta rahe ga to beshak Allah taala roohul uqdas {Hazrat Jibrail (عليه السلام)} ke zarye Hassan ki madad farmata hai'!"

📚(Sunan abu Dawood,Kitab ul adab, baab ma jau fi'shaar, Jild 5 Page 176 Hadith No.5015)

📘(Sunan Tirmizi,kitab ul-adab,baab ma jau fi inshad'shaar, Jild 3 Page562,561 Hadith No 2846)

➡Reference No.02...

🎆Hadees main hai ki ek SAHABI رضی الله عنہ ney arz ki ke mujhe Huzoor ﷺ ki wo waali naat sunao jo torait main hai".

📚(Mishkaat shareef, babul fazail, syed-ul-mursaleen, Pg:512)

🌠Kya ab bhi Naat na padhoge
Sahaba Ikraam ki Sunnat par Amal naa karoge ?

EID-E-MILAAD UN NABI (SALLALAHUALAIHIWASSALLAM) MANANE ka sabut

⭐ SARKAR ﷺ KI AAMAD ⭐
 💢MARHABA💢

🎆☀🎆☀🎆☀🎆☀🎆

↪PART :- 05.

☀Aap ﷺ ne aapna Milaad manaya ?
Aur Huzur ﷺ Ne Apne milaad ke mutallik kya farmaya ?

🎆"Aayiye aapke saamne ek Hadees pesh karta hun Aapne Pyaare Aaqa ﷺ ke Meharban hone ki,

🌠Chunanche Aaqa-e-Kareem ﷺ ka farman magfirat Nishan hai,

🎆"Jisne Mujh par 100 martaba Durood-e-Paak padha Allah uski dono aankho ke darmiyaan likh deta hai ki Ye Nifaaq aur Jahannam ki aag se Aazaad hai aur use Ba Roze Qiyamat Shohdaa ke saath rakhega."

📚{Majmuazzawayad; Vol 10; Pg 253; Hadees 17298}

🌠Ab 100 baar durood sharif padhna kaunsi badi baat hai ?
Magar phir bhi Jahannam se nijaat ki basharat de di gayi ab yeh meharbani nahi toh kya hai ?

🎆Ab Aur kya-kya Reason chahiye tumhe aapne Pyaare Nabi ﷺ se Muhabbat karne ke liye aur unki ki Wiladat ki khushi Manane ke liye ?

➡Hadees No:- 01.

🎆Hazrat Abu Qatada رضی الله عنہ Se Riwayat Hai,
Rasool-E-Karim ﷺ Se Peer Ka Roza Rakhne Ke Bare Me Sawal Kiya Gaya To Aap ﷺ
Ne Farmaya ki,

🌠"Isi Din Meri Wiladat Hui Aur Isi Din Mujh par Quran Nazil Hua"

📗(Sahih muslim Jild 2.hadith no 819 .page1162)

📗(Nasai al sunane kubra Jild 2 hadith 146,page 2777)

➡Hadees No:-02.

🎆"Huzoor ﷺ Ke Zamane Me Masjid-E-Nabwi
Me Milaad Hui Isme Khud
Aaqa-e-Kareem ﷺ
ne Apni Wiladat Ke Fazail Bayan kiye."

📗(Tirmizi Sharif, Jild 2 Safa 201)

➡Hadees No:-03.

🎆"Khud Nabi-e-Kareem ﷺ Ne Apne Milaad Par ALLAH عزوجل Ka Shukra Bajaa Lane Ki talkin Farmayi Aur Targib Di"

🌠Hadees Taweel (badi) hai
Poori Tafseel Neeche diye gayi Hadeeson ki kitabon main check ki jaa sakti hai....

📗[Muslim Sharif, Jild - 2,
Safa - 819 ]

📗[Nisaai Sharif, Jild - 2,
Safa - 147 ]

📙[Baihaqi Sharif, Jild - 4, Safa - 286]

SARKAR ﷺ KI AAMAD ⭐
 💢MARHABA💢

🎆☀🎆☀🎆☀🎆☀🎆

↪PART :- 04.

💢Quran kya Farmata hai ?

🎆“Apne Rab Ki Nemato Ka Khoob Khoob Charcha Karo”

📚(Surah Duha Ayat 11)

🌠Is Ayat Me Allah Ta'ala Ne Humein Apni Nemato Ka Charcha karne Ka Hukm Diya. Har Momin Ye Janta Hai Ki Allah Ki Sabse Badi Aur Azeem Nemat Hamare Liye Uske Rasool صلی اللہ علیہ وسلم Hai !

🎆Is Baat Ko Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai......

🌠“Beshak Allah ka bada ehsan hua musalmano par ki unme unhi me se ek Rasool صلی اللہ علیہ وسلم bheja jo unpar uski aayatein padhta hai aur unhe paak karta hai.....”

📓(Sureh Al-Imran,Ayat 164)

🌠Mere Bhaiyo Aap Sara Quran Pad Lijiye Kisi Bhi Jagah Allah Ne Ye Nahi Kaha K Humne Tumhe Ye Nemat Dekar Tumpar Ehsan Kiya hai Siwae Apne Mehboob Nabiصلی اللہ علیہ وسلم ke.

🎆Isse Malum Hua K Allah Ki
Sabse Badi Nemat Hamare Liye Uske Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Hai…

🎆"Beshak Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Men Se Wo RASOOL صلی اللہ علیہ وسلم Jin Par Tumhara Mushakkat Mein Padhna Giraan (Gawara nahi) hai,
Tumhari Bhalai ke Nihayat Chahne Wale Musalmano Par Kamale Meharban Meharban"

📓(Surah Tauba Ayat no.128)

🌠Is ayat me Allah tabarak wa ta'ala khud gawahi de raha hai Aapne Rasool صلی اللہ علیہ وسلم
ki hum gunahgaron se be-inteha Muhabbat aur hum par meharban hone ki...

🎆Toh kya pehli Ayat me Allah ne jo hukm diya us par amal karte hue hum hamare Pyaare Pyaare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم Ki wiladat na manayein ?


⭐ SARKAR ﷺ KI AAMAD ⭐
 💢MARHABA💢

🎆☀🎆☀🎆☀🎆☀🎆

↪PART :- 06.

☀Kya kisi Sahabi ne Milaad-e-Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) Manayi hai ?

➡Reference No- 01..

🎆Hazrat Abu Saeed Khudri (رضی الله تعالی عنہ)se riwayat hai ki Muawiya (رضی الله تعالی عنہ) se riwayat hai ki AAQA kareem (رضی الله تعالی عنہ) bahir nikle sahaba ke halqey per, Aap (صلی اللہ علیہ وسلم) ney fermaya,

🌠"Tum Yahan kis waja sey beithy ho, unhon ney kaha hum ALLAH se dua kar rahy hain aur uska shuker adda ker rahy hain ki Isne apna deen hum ko batlaya aur hum per ehsan kiya aap ko bhej ker."

📚(Sanan Nisai, Hadees: 5432)

➡Reference No.02..

🎆"Sahaba Aur Tabain Aur Digar Ahle Islam Ne Peer Ke Din Ka Roza Rakh Kar Bhi Milaad Manaya"

📕(Abu Daawud Jild-1, Safa-331)

➡Reference No.03..

🎆"Makka sharif Ke Log NABI-E-PAK Ki Paidaish Ki Jagah Ko MILADUN NABI Ke Din Har Saal Ziyarat Karte Aur Mehfile Munaqid Karte"

📚(JAWAHIR AL BIHAR SAFA-1222)


⭐ SARKAR ﷺ KI AAMAD ⭐
 💢MARHABA💢

🎆☀🎆☀🎆☀🎆☀🎆

↪PART :- 07.

☀Aap ﷺ ki wiladat ko Eid kehna kaisa ???

🎆Aaiye Pahele Hum Eid Ka Matlab Samaj Lete Hai Eid Ka Lugvi Maina (Meaning) Hai Khushi Agar Koi Arabi Khushi Ka Lafz Arabi Me Kahega To Wo Yahi Kahega "Eid"

🌠Ise Samjhane K Liye Quran Ki Ek Ayat Pesh e khidmat hai,

➡Al-Quran...

🎆"Essa ibn-e-Mariyam ne Arz ki Aye ALLAH !
Aye Rab Hamare !
Hum Par Aasman Se Ek Kuwan Utar Ke Woh (Kuwan Utarne
Ka Din) Hamare Liye Eid Ho,
Hamare Aglon Aur Pichlo Ki"

📓(Surah Maida Ayat 114)

🎆Is Ayat Se Maloom Hua Ke Jis Din Allah Ki Khass Rehmat Nazil Ho Us Din Ko Eid Manana Aur Khushi Manana Allah Ka Shukar Ada Karna Ambiya Ka Tarika Hai Tabhi To Hazrat Essa عليه السلام Ne Dua Mangi....

🌠Aap Khud Faisla Kare Ke Jis Din Hazrat Essa عليه السلام
Par Kuwan jaisi Nemat Utry
To Wo Un K Agly Aur Pichlon K Liye Eid Ho To Jis Din Sare Alam K Liye-o-Jahan Ke Liye Jo Zaat Rehmat Hai Un Ki Wiladat Ho To Us Din Musalmano K Liye Eid Yani Khushi Kaise Na Ho ?

☀Aaqa-e-Kareem ﷺ ne farmaya,

🎆"Juma’a ka din sab dino ka sardar hai,
ALLAH ke nazdik sabse bada hai aur wo ALLAH ke nazdik "Eid-ul Azha" aur "Eid-ul Fitr" se bada hai.
ALLAH ne isme Hazrate
ADAM (عليه السلام) ko paida kiya, Isme Zameen par unhe utara Aur Isme Unhe wafat di."

📗[Sunan Ibne Majah, Jild 2, Page No. 8,Hadith No. 1084]

🌠Is Hadees me Teen khaslate Hazrate Adam (عليه السلام) ke liye bayan ki gayi jisme aap ki wafat-e-Zahiri ka bhi zikr hai,

🎆To pata chala ki ek nabi ki paidaish unka zameen par utarna aur unki wafat ke din
ke bawajud bhi Mo’mino ke liye ALLAH ne use Eid bana diya....

🎆Aur toh aur woh din Eid-ul-Azha aur Eid ul fitr se bhi afzal kar diya.

🌠"Mairaj ki raat AAQA-e-kareem صلی اللہ علیہ وسلم
ne tamam Anbiya ki imamat ki thi"

📕{Sanan Nisai, V:1, Page:221}

🎆Jaisa ki hadees se pata chalta hai ki hamare Sarkarﷺ
tamam ambiya ke sardar aur Imaam hain.... Unki tashrif aavari par hum us din ko kyun Eid na kahe,

🌠Balke hum tou use Eidon ki Eid kahenge ki unki tashrif aavri ki wajah se hi tou hume baki Eid mili aur har hafte me Ek Eid karke pure saal me 52 Eidon (juma) ka tohfa mila woh isi "Rehmatallil Aalamin" ki tashrif aavari se mila hai tou hum kyun us din khushi na kare ?

Monday, 5 January 2015

Sifarish ka saboot Quran Sharif se

*Al Quran*
.
} وَمَآ أَرْسَلْنَا مِن رَّسُولٍ إِلاَّ لِيُطَاعَ بِإِذْنِ ٱللَّهِ وَلَوْ أَنَّهُمْ إِذ ظَّلَمُوۤاْ أَنْفُسَهُمْ جَآءُوكَ فَٱسْتَغْفَرُوا ْ ٱللَّهَ وَٱسْتَغْفَرَ لَهُمُ ٱلرَّسُولُ لَوَجَدُواْ ٱللَّهَ تَوَّاباً رَّحِيماً {
.
(Sura E Nisa, Ayat 64)
.
Tarjuma,
.
Aur Hamne Rasool Na Bheja, Magar Isliye Ki ALLAH Ke Hukm Se Uski Ita'at ki Jaye, Aur Aye Mehbuoob, Jab Ye Log Apni Jaano Par Zulmkaren (Gunah Karen) To Pehle Apke Paas Hazir Ho, Fir Apne Rab Se Maghfirat Chahen, Fir Jab Rasool Bhi Inke Liye Maghfirat Chahen, Tab Ye Apne Rab Ko Bada Maaf Karne Wala Payenge.
.
.
Is Aayat Ke Tehet Imam Qurtubi Rahematullahi Alayhi Likhte Hain,
.
Imam Sadiq RaziALLAHU Anhu Farmate Hain Ki Hazarat Ali RaziALLAHU Anhi Ne Farmaya,
.
Nabi (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Ke Wisal Ke 3 Din Ke Bad, Ek Dehati Aaya, Aur Nabi (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Ke Rauze Par Ja Gira, Rauze Ki Kuch Mitti Uthai, Aur Apne Sar Pe Mal Liya, Aur Kaha,
.
YA RASOOLALLAH,
.
Aapne Farmaya Tha Aur Humne Suna Tha ki ALLAH TA'ALA Ne Apse Farmaya Ki,
.
'Aur Jab Ye Log Apni Jaan Par Zulm Karen, To Pehle Aye Mehboob, Pehle Ye Tumhare Paas Ayen, Aur Fir Apne Rab Se Maghfirat Talab Karen,
.
Aur Fir jab Aap Bhi Inke Liye Maafi Chahen, Tab Ye Apne Rab Ko Bada Maaf Karne Wala Payenge.'
.
Aur Mai Unme Se Ek Hu, Maine Apni Jaan Par Zulm Kiya, To Mai Apke Paas Aaya Hu, Taki Aap Mere Liye Maghfirat Ki Dua Kijiye,
.
Iske Baad Rauza E Rasool (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Se Ye Aawaz Aayi 'Jaao, Beshak Tumhari Maghfirat Kar Di Gayi.'
.
[Tafsir Al Qurtubi, Al Jami li Ahkam Al Quran Volume 006, Page No. 439, Under The Verse, 4:64]
.
.
Zara Ghaur Famaiye, Is Riwayat Se 4 Baate Waazeh Hoti Hain,
.
.
1) Nabi (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Ke Wisal Ke Baad Us Shaks Ne Pukara,
.
''YA RASOOLALLAH'
.
Tab Sahaba Ne Shirk Ka Fatwa Kyu Nahi Lagaya????
.
Iska Matlab Wisal Ke Baad Bhi ''YA RASOOLALLAH'' Kehna Jayez Hai.
.
.
2) RasoolALLAH (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Apne Wisal Ke Baad Bhi Hamari Pukar Ko Sunte Hain, Aur Agar Aapki Marzi Ho, To Jawab Bhi Dete Hain,
Tabhi To Us Dehati Ko Uski Maghfiart Ki Basharat, Qabr E Anwar Se Mili..
.
.
3) Qabr Pe Jaakar, Waseela Lena, Aur Unse Kehna Ki ''Aap Hamare Liye ALLAH Se Dua Kijiye'' Aur ALLAH Ki Bargah Me Isteghasa Pesh Karna Bhi Jaez Hai.
.
Aur Is Ayat Ke Tehet Ye Bhi Waazeh Ho Gaya Ki RasoolALLAH (SALLALLAHU ALAYHI WASALLAM) Chahne Se Bando Ko Maghfirat Mil Jati Hai.
.
Kyunki
.
ALLAH Ne Khud Farma Diya Ki "Aye Mehoob, Jab Aap Bhi Inke Liye Maghfirat Chahen, Tab Ye Apne Rab Ko Bada Maaf Karne Wala Payenge'
.
.
*SubhanALLAH*
.
.
Isliye Ham Kahte Hai,
.
Wahabi Bhala Kya Jane Teri Shan E Azeem,
.
INNAKA LA'ALA QULKEEN AZEEM,
.
Wahabi Teri Assal Bata Raha Hai Quraan E Kareem,
.
UTULLIM BADA ZALIKA ZANIM

Sunday, 4 January 2015

Azaan se pehle durood padhna kaisa ?

Answer:-

🌍Quran-e-Paak aur Ahadees-e-Mubarika main kasrat k saath durood perhny ka hukm hai,

🌍Siwaye nijasat ki jaga k illawa uthtey beithy chaltey phirty durood shareef perha jai tou es main koi muman'at nahi hai.

🌍Durood-e-Paak jis qadr aur jitni ziada jagaoon aur mawaqon per perha jai itna he ziada acha hai, eshe liay ahl-e-sunnat wal jama'at k haan durood-e-paak ki
kasrat ki jaati hai.

Azaan Sey Pehly Durood:

🌍Yeh baat yaad rakhiyay k azaan sey pehly durood-e-paak perhny per bohat sey ulama ka ijma hai,

Aur Hadees-e-Pak hai k:

🌍"Beshak ALLAH meri Ummat ko gumrahi per jama nahi fermaega".

📚(Mishkaat Shareef, Page:30)

🌍Aur jiss kaam ko musalman acha samjhaian jo ALLAH k Nazdeek bhi acha hai.

📚(Kitaab-al-ma'aat,Page:129)

🌍History Dekhain tou pata lagta hai k sub sey pehly Salaud Deen Ayubi (Allah ki inpar Rehmat ho)

🌍Jo Fatah-e-bait-ul-Muqaddas aur Aashiq-e-Mustafa
ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ
k ilqabaat se jaaney jaty hain,

🌍Inhone 589 Hijri main apne door-e-hakoomat main Azaan sey pehly Durood perhny ka hukm jaari kia,

🌍Aur Iske bawajood k sultan mosoof bazaat-e-KHUD aalim faazil they,

🌍Itne saalon main kisi bhi buzurg ney un k es kaam per tanqeed nahi ki bal k un k kaam ko saraha aur apni duaoon sey nawaza.

🌍Imam Muhammad Bin Abdul Rehman Sakhawi 902 Hijri k jaleel-ur-Qadr IMAM hain aur Hafiz Ibn-e-Hajr Askalani jo Sahi Bukhari ki mashoor SHARAH likhny waly hain inke shagird hain,

🌍Yeh fermaty hain k Azaan sey pehly durood shareef perhey sey pehly yeh biddat Raij ho chuki thi k loog apny khalifa per salam bheja kerty they,

🌍Salaud deen Ayubi ney es buri biddat ko khatam ker k Azaan sey pehly durood shareef ko raij kia aur es k MUSTAHAB honey ki daleel Nus-e-QURANI sey sabit hai,

ALLAH fermata hai...

🌍"Pus neik kaam karo"

📚(Sura Anbiya, Para:17, Ayat:17),

🌍To Azaan sey pehly
Durood Perhna aik achi biddat hai jis per ajr-o-sawab hai...

📚(Aqwal-al-badeei, Page:192)

🌍Pehli baat tou yeh k Durood shareef kisi bhi waqt perhna jaiz hai,
Chahy azaan sey pehly perhain ya baad main, eska zikr Quran-e-kareem main bhi hai....

📚(Sura Ahzaab,Verse:56)

Ahadees main aata hai:-

🌍AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:
"Jub tum moazain sey azaan suno tou wo kalimaat dohrao jo wo keh raha hai,

🌍Aur es k baad MUJH per Durood-o-salam perho, aur mery waseely sey dua mango".

📚(Mishkaat Shareef,Page:64)

Hazrat Ibn-e-Abbas
ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ
Ney Sureh Ahzab ki ayat-e-durood ki tafseer is terha sey ki:

🌍"Aur her maqaam per durood perho".

📚(Jila-ul-Ifhaan, Page:252)

Arwa Bin Zubair
Ne bani-e-najr ki Ek Aurat sey riwayat ki...

🌍"Mera gher MASJID-e-Nabwi k gird taweel tareen hai,
Hazrat Bilal ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ mery gher ki chhat per azaan dete,
pehly dua karty,
Durood perhty aur phir Azaan kehty"....

📚(Sanan Abu Daood, V:1, Page:77)

Azaan sey Pehle Durood Shareef perhny ko kin kin ulma-e-karaam ney jaiz likha:

Is Ummat key 4 barey muhadiseen jin ko tamaam ummat manti hai unhon ney azaan sey kabal DAROOD
O SALAM jaiz likh:-

🌍Hazrat Imam Shurani
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
NE apni tasanef Kashaf al Gama main.....

🌍Hazrat Imam Hajar Shafai
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧﻋﻠﯿﮧ
ne apnay Fatawa Kubra main.

🌍Imam Mula Ali Qari Alehay
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
Mishkat Shareef ki sharah, Sharah Mirkat main....

🌍Hazrat Imam Shami
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
nay Fatawa Shami main azaan sey pehlay aur azaan key bad,
ikamat sy pehlay Darood o Salam parhney ko jaiz likha.

"Allah ki in saare Buzurgane Deen par Rehmat ho,
Aur inke Sadqe Hamari Magfirat ho."

🌍ISI LIYE HUME BHI BEJHIJHAK AZAN SE PEHLE AUR BAD ME HUMARE AAQA WA MOULA SALLAHU ALAYHI WASALLAM KI BARGAH ME DOOROD O SALAM KA NAZRANA PESH KARNA CHAHIYE...........



Talib-e-DuA
Khakpa-E-Mohaddis-E-Kabeer Hazrat Allama Mufti Zia-Ul-Mustafa Sarkaar Allama Sahab qibla.
{Janashin-E-SadrusShariyah,Naib Qazi-Ul-Quzzat Fil Hind}

DEOBAND K GALAT TARAJUM... IMAM AHLE SUNNAT KI QURAN FEHMI

DEOBAND K GALAT TARAJUM"
✅✅✅
IMAM AHLE SUNNAT KI
 QURAN FEHMI


BISMILLAH ka tarjuma:


(Mehmood ul hasan deobandi):-
"shuru Allah k naam se jo behad meherban aur
nihayat rahem wala hai"
 
(shah Abdul qadir)
"shuru Allah nihayat rahem
wale k naam se"


(ASHRAF ALI thanvi)
"shuru karta hu Allah k naam
se jo baremaherban aur
nihayat rahem wale hain"

(moududi deobandi)
bhi same aur (saudia wale) bhi same,
in sab mouloviyo ne pehle
apna naam likha,

example:
main shuru karta hun,
baad mein Allah ka naam likha,


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"ALLAH k naam se shuru
jo bohot maherban rahmat wala"


¤Surah fatiha, ayat #5,

(Mehmood UL hasan DEOBANDI)
"batla humko sedhe rah"

(ASHRAF ALI thanvi)
"batlayiye humko rasta sedha"

(Moududi DEOBANDI)
"hume sedhi rah dikha"

 
(Shah Rafiuddin DEOBANDI)
"dikha humko rah sedhi"


sabhi wahabi ne
sedhi rah to dekhi haimagar chalata nahi



Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"HUM KO SIDHA RASTA CHALA"


Jo wahabi log abhi sedhi rah dekhe hi nahi
 wo chalenge kaise?

pehle khub achche
se dekh lo...phir chalna



Surah baqrah, ayat#9,

(ASHRAF ALI THANVI deobandi)
"chalbazi karte hain yeh Allah se aur
un logo se jo imaan la chuke"


(Shah rafiuddin DEOBANDI)
"fareb dete hain Allah ko aur imaan wale logo ko"


(Mehmood UL hasan deobandi)
"daghabazi karte hain Allah seaur imaan walo se"


(Moududi DEOBANDI)
"ALLAH aur imaan lane wale
logo se ye dhokabazi karte hain"


Kiya koi ALLAH ko dhoka de
sakta hai?
jo dhoka dena chahte hai
khud dhoke me pad jate hai
magar ALLAH ko koi dhoka
nahi de sakta.


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"wo de to nehi sakte par
dhoka dena chahte hain Allah ko"


Surah baqrah, ayat #15 ( #15 ),


(Sir sayed ahmad khan deobandi)
"ALLAH un munafiqon se that'ta karta hai"

(mirza Hairat dehlvi)
"ALLAH unki hansi udata hai"


(Mehmood UL hasan DEOBANDI)
"ALLAH unse hansi karta hai"


(waheed uz zaman wahabi)
"ALLAH UN se dil lagi karta hai"

(Fateh Muhammad Jhalendari)
"in munafiqo se khuda hansi karta hai"

ma'az ALLAH
in sab deobandi/ wahabio ne
Allah ko hansi,that'ta karne wala likha,
Maaz ALLAH
Kiya ALLAH
hansi,that'ta karta hai?

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"ALLAH in se istehza farmata hai jaisak
uski shan k laiq hai"


Surah taha,ayat#121,

(saudia wala tarjuma)
"adam ne apne rab ki
na farmani ki
pass wo behek gaya"


(Muhammad JunaGhari)aur
(Ashiq Ilahi)
"adam ne na farmani ki apne rab kipass wo gumrah huwa"

Ma'azAllah
in donone
tamam insano ke baap,
aur jo hai ALLAH ke NABI
HAZRAT AADAM(alaihissalam)
ko gumrah aur
behka huwa likha,


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"adam se laghzish huwi aur jo matlab chaha tha uski rah na payi"

ye hoti hai Ambia ki tazeem,


Surah aale Imran ayat#54,


(Mehmood ul hasan deobandi)
"makar kiya un kafiro ne aur
makar kiya Allah ne
aur Allah ka makar sab se behtar hai"


(Shah abdul qadir DEOBANDI)
"fareb kiya un kafiro ne aur
fareb kiya Allah ne aur Allah ka
daao sab se behtar hai"


(Shah Rafiuddin deobandi)
"makar kiya kafiro ne aur makar kiya
Allah ne aur Allah behtar makar karne wala hai"

Ma'azAllah
in sab ne Allah ko dhokayba'az,
farebi aur makar karne wala likha


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"un kafiro ne makar kiya aur
Allah ne in ki halakat kikhufia
tadbeer farmayi hai aur
Allah behtar tadbeer farmane wala hai"

ye hoti hai bandagi,




Surah aale imran ayat#140,


(Abdul Majid deobandi)
"ta k Allah imaan walo ko jaan le"


(ashraf Ali thanvi)
"ta k Allah imaan walon ko jaan leve"


(Shah Abdul qadir deobandi)
"ta k malum kare jin ko
imaan hai Allah"

Ma'az Allah
in sab moulviyo ne
Allah k bare mein likha
Allah Jaanle,pata karle,
malum karle,

kiya Allah aalimul Ghaib nahi?


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"ta k Allah pehchan karwa de imaan walo ki"

Humara khuda to sab kuch azal se jaanta hai,
kia deobandi ye tarjuma likhne k bad bhi muslman rahe?
Faisla apka


Surah Ale imran ayat#142

(Abdul Majid deobandi)
"abhi Allah ne unlogo ko
to jana hi nahi
jinho ne jehad kiya aur
sabr karne walo ko bhi nehi jana"


(Fatah muhammad Jhalandri deobandi)
"halan keh abhi tum mein
se jehad karne walo ko
to Allah ne achchi tarah
malum nehi kiya aur
ye bhi maqsud hai k wo sabit qadam rehne walo ko malum kare"

(Shah Abdul Qadir deobandi)
"aur abhi malum nehi kia Allah ne
jo ladne wale hain tum mein aur
malum kare sabit rehne wale"

ma'az Allah
in sab moulvio ne
Allah k bare mein likha k Allah jaanle,malum kare,


Alhamdulillah aqiada e ahle sunnat hai
 k Allah alimul ghaib hai
aur sab kuch jaanta hai
koi jaankari ALLAH se chhupi nehi.

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"aur abhi Allah ne tumhare ghazio kaimtehan liya hi nahi hai aur na sabr karne walon ki azmaish ki hai"



isay kehte hain ilm,
sirf Arbi padh lene se
Quran ka tarjuma
nahi kia ja sakta
jab tak khouf e khuda
aur ishq e Ilahi na ho


Surah anaam, ayat#114

(Fatah Muhammad Jhalandri)
"tum hargizae nabi shak karne walo mein se na hona"

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
"tum mat hona shak karne walo me se"

(ashraf ali thanvi)
"aap shuba karne walo me se na hona"

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
"pass mat ho shak lane walo mein se"

MA'AZ,ALLAH
in sab moulvio ne
Nabi ko shak karne walo
k sath mila diya,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"aye sunne wale tu hergiz
shak karne walo mein se na hona"

yahan Imam e ahle
sunnat ne sunne
walo ko mukhatib kiya
Nabi ki shan
mein gustakhi nahi ki,

🔟🔷
Surah touba, ayat#79

(Abdul Majid Daryabadi)
"in se tamassur karte hain Allah
in se tamassur karega"

(Moududi DEOBANDI)
"ye un logo ka mazaq urate hain
jo imaan wale in k pas aate hain
Allah in ka mazaq udata hai"

(Mehmud ul Hasan)
"phir un per that'te karte hain aur
Allah unse that'te karta hai"

ma'az,ALLAH
in sab deobandi ne
Allah ko hansi mazaq
aur that'ta karne wala likha,

jab k aqida e ahle sunnat
hai k Allah
Hansi mazaq karne se paak hai

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"aur ye in se mazaq karte hain
momino se
mujahido se
Allah inko in k mazaq aur hansi ki saza dega"

🔷
Surah touba, ayat#67,

(Fatah muhammad DEOBANDI)
"ye khuda ko bhul gaye
khuda in ko bhul gaya"

(Moududi DEOBANDI)
"ye Allah ko bhul gaye aur
Allah ne inhe bhula diya"

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
"pass bhul gaye Allah ko
Allah ne inhe bhula diya"

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
"pass ye Allah ko bhul gaye
Allah ne inhe bhula diya"

MA'AZ,Allah
sum'ma
ma'az,ALLAH
in sab moulvio ne
Allah ko bhul ne wala likha,
jab bhulna ek a'aib hai aur

jab k aqida e ahle sunnat
hai k
Allah har a'aib se paak hai,

Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma
✅"wo Allah ko chhor baithe
Allah ne unhe chhor diya"

ye hota hai quran ki rooh
ko samjhna,
🔷

Surah muhammad, ayat#19

(Shah rafiuddin DEOBANDI)
"bakshish mango apne gunaho k liye aur momineen aur moninaat
ke gunaho k liye"

(Fatah Muhammad DEOBANDI)
"apne gunaho ki muafi mang
aurmomin mardo aur aurto k gunaho kimuafi mang"

(Moududi DEOBANDI)
"apne kusur ki muafi
mango ayenabi,
aur momin mardo aur aurto k kusur ki muafi mango"

(Mehmud ul hasan DEOBANDI)
"apne gunah k waaste
mango muafi aur
momin mardo aur aurto k liye"

(ASHRAF ALI thanvi)
"apni khatao ki muafi
mangte raho aur
momin mardo aur aurto
ki khatao ki muafi mangte raho"

MA'AZ,ALLAH
MA'AZ,ALLAH
in sab moulvio ne
Nabi alaihssalam ko
gunahgar likha aur likha
k apne gunaho ki muafi mango,

jab k aqida e ahle sunnat
hai k
Hamare pyare NABI
(sallallahu alaihe wa sallam)
 har gunah se paak hain


Ab padhiye
(AALA HAZRAT IMAAM
AHMAD RAZA KHAN
{radi allahu anhu})
ka tarjuma

"apne khaaso'n aur a'am musalman
mardo aur aurto
k gunaho ki muafi mango"

👹👺👹
YE BAD AQIDA WALE
 KHUD TO BADALTE NAHI
QURAN KO BADAL DETE HAIN

isi liye yeh farman
bhi hai
ALLAH ka k
"beshak quran ko padh kar
log hidayat patey hain aur
log gumrah bhi hojate hain"


Ab aap hi faisla kijiye
Yeh deobandi log kiya
abhi bhi musalman hai
ya kafir??
faisla aap ka

magar
(Jo kafir k kufr mein
shak kare wo b kafir)
 ☆ ☆ ☆

Talib-e-DuA
Khakpa-E-Mohaddis-E-Kabeer Hazrat Allama Mufti Zia-Ul-Mustafa Sarkaar Allama Sahab qibla.
{Janashin-E-SadrusShariyah,Naib Qazi-Ul-Quzzat Fil Hind}

RASOOLULLAH KI NAAT ME BADMAZHABO KE KHILAF ASH’AAR PADHNA BHI SUNNAT-E-SAHABI HAI.

.HADEES#1: Hazrat Abu Hurairah radiAllah-hu-ta'ala anhu bayan karte hain ki Hazrat Umar radiAllah-hu-ta'ala anhu, Hazrat Hassan
Bin Sabit radiAllah-hu-ta'ala anhu ke pas se guzre,
Halaanki wo Masjid me Sher padh rahe the,
Hazrat.Umar radiAllah-hu-ta'ala anhu ne ghoor kar unki taraf dekha,
Hazrat.Hassan ne kaha, Mai masjid me us waqt bhi sher padha karta tha, jab
Masjid me tumse afzal shaks maujud the, fir unhone Abu Hurairah ki taraf
mudkar kaha:
Mai tumko Allah ki qasam dekar sawal karta hu,
kya tune Nabi alaihesalam ko ye farmate hue suna hai ki,
Meri taraf se jawab do, Aye Allah! Roohul Quds se iski taeed farma.
Unhone kaha ‘Haan’
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no,6334)
(Bukhari, H.no.753, 3212, 6152)
(Abu Dawood, 5013, 5014)
(Nasai, 715)
.
HADEES#2: Hazrat.Bir’a Bin Aazib radiAllah-hu-ta'ala anhu bayan karte hain ki maine Rasoolullah
alaihesalam ko H.Hassan Bin Sabit radiAllah-hu-ta'ala anhu ke liye ye farmate hue suna hai ki
In (Kafiro) ki huju karo, aur Jibrail tumhare sath hain.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6337)
(Bukhari, H.no.3213-4123- 4124-6153)
.
HADEES#3: Arwah bayan karte hain ki H.Hassan Bin Sabit radiAllah-hu-ta'ala anhu ne, Hazrat Ummul
Momineen Ayesha Siddiqa ke mutalliq bahot kuch kaha tha(Yani tohmat
lagane walo ke sath shamil the)
maine unko bura kaha, Hazrat Ayesha radiAllah-hu-ta'ala anhu ne farmaya, Aye Batije! Usko chhod
do, kyunki wo Rasoolullah alaihesalam ki taraf se kafir kojawab dete
hain.
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6339)
.
HADEES#4: Masrooq kehte hain, Mai Hazrat.Ayesha radiAllah-hu-ta'ala anhu ke paas gaya, to Hazrat Hassan
inke paas baithe apne ye Ash’aar suna rahe the:
حصان رزان ما تزن بريب
وتصبح غرثى من لحوم الغوافل
‘Wo Pakeezah aqalmand hain, Unpar kisi aib ki tohmat nahi hai,
Wo Subah ghafilo ke gosht se bhuki uthti hain.’
yani kisiki gheebat nahi karti.
.
Hazrat Ayesha radiAllah-hu-ta'ala anhu ne inse farmaya:
lekin tum is tarah nahi the,
Masrooq ne kaha: aap inhe apne paas aane kikyu ijazat deti hain?
Jabki Allah Ta’aala ne farmaya hai:- ‘Aur jisne in me se is bohtan me
sabse bada hissa liya, uske liye bada azab hai.’
Hazrat.Ayesha radiAllah-hu-ta'ala anhu ne farmaya:
Andhe hone se zyada bada azab kaunsa hoga?
Hassan to Rasoolullah alaihesalam ki taraf se kuffar ko jawab dete the,
ya unki huju karte the.
(Muslim, Kitabl Fazail, H.no,6341)
(Bukhari, H.no.4146, 4755, 4756)
.
HADEES#5: Hazrat.Ayesha radiAllah-hu-ta'ala anhu bayan karti ain ki Hazrat.Hassan ne arz kiya:
Ya Rasoolullah, mujhe Abu Sufiyan ki Huju karne ki ijazat dijiye,
aapne farmaya:
uske sath meri jo qurabat(rishted ari) hai, uska kya karoge?
Hazrat.Hassan ne kaha: Us zaat ki qasam, jisne apko karamat di hai, Mai aapko
unse is tarah nikal lunga, jis tarah gundhe hue aate se baal nikal liya
jata hai,
fir Hazrat.Hassan ne ye ash’aar padhe:
وإن سنام المجد من آل هاشم
بنو بنت مخزوم ووالدك العبد
“Aale Hashim ki buzurgi ki kohan,
Binte makhzoom ki aulad hai, tera baap to ghulam tha.”
(Muslim, Kitabul Fazail, H.no.6343)
.
In Hadeeso se 2 masle sabit hain,
1: Nabi alaihesalam ki Naat padhna, bhi Sunnat-e-Sahab hai,
2: Naat-e-Paak me bad mazhabo ke khilaf jumle istemal karna bhi
Sunnat-e-Sahaba hai.
.
.
Tabhi to mere Sarkar AalaHazrat farmate hain,
.
”Suraj ulte paanv palte, Chaand ishaare se ho chaak,
Andhe Najdi dekh le Qudrat Rasoolullah ki”