Sunday, 4 January 2015

Azaan se pehle durood padhna kaisa ?

Answer:-

🌍Quran-e-Paak aur Ahadees-e-Mubarika main kasrat k saath durood perhny ka hukm hai,

🌍Siwaye nijasat ki jaga k illawa uthtey beithy chaltey phirty durood shareef perha jai tou es main koi muman'at nahi hai.

🌍Durood-e-Paak jis qadr aur jitni ziada jagaoon aur mawaqon per perha jai itna he ziada acha hai, eshe liay ahl-e-sunnat wal jama'at k haan durood-e-paak ki
kasrat ki jaati hai.

Azaan Sey Pehly Durood:

🌍Yeh baat yaad rakhiyay k azaan sey pehly durood-e-paak perhny per bohat sey ulama ka ijma hai,

Aur Hadees-e-Pak hai k:

🌍"Beshak ALLAH meri Ummat ko gumrahi per jama nahi fermaega".

📚(Mishkaat Shareef, Page:30)

🌍Aur jiss kaam ko musalman acha samjhaian jo ALLAH k Nazdeek bhi acha hai.

📚(Kitaab-al-ma'aat,Page:129)

🌍History Dekhain tou pata lagta hai k sub sey pehly Salaud Deen Ayubi (Allah ki inpar Rehmat ho)

🌍Jo Fatah-e-bait-ul-Muqaddas aur Aashiq-e-Mustafa
ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ
k ilqabaat se jaaney jaty hain,

🌍Inhone 589 Hijri main apne door-e-hakoomat main Azaan sey pehly Durood perhny ka hukm jaari kia,

🌍Aur Iske bawajood k sultan mosoof bazaat-e-KHUD aalim faazil they,

🌍Itne saalon main kisi bhi buzurg ney un k es kaam per tanqeed nahi ki bal k un k kaam ko saraha aur apni duaoon sey nawaza.

🌍Imam Muhammad Bin Abdul Rehman Sakhawi 902 Hijri k jaleel-ur-Qadr IMAM hain aur Hafiz Ibn-e-Hajr Askalani jo Sahi Bukhari ki mashoor SHARAH likhny waly hain inke shagird hain,

🌍Yeh fermaty hain k Azaan sey pehly durood shareef perhey sey pehly yeh biddat Raij ho chuki thi k loog apny khalifa per salam bheja kerty they,

🌍Salaud deen Ayubi ney es buri biddat ko khatam ker k Azaan sey pehly durood shareef ko raij kia aur es k MUSTAHAB honey ki daleel Nus-e-QURANI sey sabit hai,

ALLAH fermata hai...

🌍"Pus neik kaam karo"

📚(Sura Anbiya, Para:17, Ayat:17),

🌍To Azaan sey pehly
Durood Perhna aik achi biddat hai jis per ajr-o-sawab hai...

📚(Aqwal-al-badeei, Page:192)

🌍Pehli baat tou yeh k Durood shareef kisi bhi waqt perhna jaiz hai,
Chahy azaan sey pehly perhain ya baad main, eska zikr Quran-e-kareem main bhi hai....

📚(Sura Ahzaab,Verse:56)

Ahadees main aata hai:-

🌍AAQA kareem ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ney fermaya:
"Jub tum moazain sey azaan suno tou wo kalimaat dohrao jo wo keh raha hai,

🌍Aur es k baad MUJH per Durood-o-salam perho, aur mery waseely sey dua mango".

📚(Mishkaat Shareef,Page:64)

Hazrat Ibn-e-Abbas
ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ
Ney Sureh Ahzab ki ayat-e-durood ki tafseer is terha sey ki:

🌍"Aur her maqaam per durood perho".

📚(Jila-ul-Ifhaan, Page:252)

Arwa Bin Zubair
Ne bani-e-najr ki Ek Aurat sey riwayat ki...

🌍"Mera gher MASJID-e-Nabwi k gird taweel tareen hai,
Hazrat Bilal ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﮧ mery gher ki chhat per azaan dete,
pehly dua karty,
Durood perhty aur phir Azaan kehty"....

📚(Sanan Abu Daood, V:1, Page:77)

Azaan sey Pehle Durood Shareef perhny ko kin kin ulma-e-karaam ney jaiz likha:

Is Ummat key 4 barey muhadiseen jin ko tamaam ummat manti hai unhon ney azaan sey kabal DAROOD
O SALAM jaiz likh:-

🌍Hazrat Imam Shurani
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
NE apni tasanef Kashaf al Gama main.....

🌍Hazrat Imam Hajar Shafai
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧﻋﻠﯿﮧ
ne apnay Fatawa Kubra main.

🌍Imam Mula Ali Qari Alehay
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
Mishkat Shareef ki sharah, Sharah Mirkat main....

🌍Hazrat Imam Shami
ﺭﺣﻤﺖ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ
nay Fatawa Shami main azaan sey pehlay aur azaan key bad,
ikamat sy pehlay Darood o Salam parhney ko jaiz likha.

"Allah ki in saare Buzurgane Deen par Rehmat ho,
Aur inke Sadqe Hamari Magfirat ho."

🌍ISI LIYE HUME BHI BEJHIJHAK AZAN SE PEHLE AUR BAD ME HUMARE AAQA WA MOULA SALLAHU ALAYHI WASALLAM KI BARGAH ME DOOROD O SALAM KA NAZRANA PESH KARNA CHAHIYE...........



Talib-e-DuA
Khakpa-E-Mohaddis-E-Kabeer Hazrat Allama Mufti Zia-Ul-Mustafa Sarkaar Allama Sahab qibla.
{Janashin-E-SadrusShariyah,Naib Qazi-Ul-Quzzat Fil Hind}

No comments:

Post a Comment