Saturday, 3 January 2015

HAZIR O NAZIR

(#1) >AhL-E-Sunnat k
Nazdik Hazir Nazir Hona 3 Tarha Hai
1>AAQA (AlyHiSALAM) Apne Roze Mubarak Mai Tashrif Farma Hain Or Tamam Kainat AAP k Samne Hazir Hai..

2>AAP Jab Chahen Jahan Chahen Ja Sakte Hain
3>Ek Waqt Mai Kai jaga Ho Sakte Hain
(Book_Saeed-Ul-HAQ P349)

AAPKI Nooraniyat Or Roohaniyat Kainat k Zare Zare Mai Jalwa Afgan Hai
(Tehqiq Hazir Nazir P18)
         *HAZIR-O-NAZIR*
(#2) Dalail Se Qabal CHALENGE 2_Questions>..

Q1)
Pury Quran Me Koi Aisi Ayat Bataen JisMe RAB K Liye Ye Arabi Alfaz Hazir-O-Nazir Bayan Howe Hon?
Haan Shahid,Mojud,Muheet ,Aleem, Baseer To Mil Jaegi,..

Q2)
 Hmara Aqida He k ALLAH ki Sifat Zati,
Qadeem, Wajib, Na Mitne Wali Or Gair
Makhluq Jab K NABI Ki Sifat Ataee,Haadis,
Mumkin,Faani Or Makhluq >Dono_Baton Ki
Mojudgi Me Bataen Kese Kufr-O-Shirk
Hoga? *HAZIR-O-NAZIR* (#3) (Dalaail)
1>"NABI Momino Ki Jaan Se Ziada Qarib
Hain" (Surah Ahzaab Ayat6) 2>"To Kesi
Hogi Jab Hum Har Ummat Se Ek Gawah
Laen Or Aey Mehboob Tumko In Sab Par
Gawah-O-Nigehban Bana Kar Laen" (Al
Nisa Ayat41) *>Yaad Rahe.. .. Gawahi
Hamesha Wohi Deta Hai Jo Zinda Or Har
Halaat Se Ba-Khabar Ho, Is Ayat Se AAQA
Ka Hayat Hona Sabit Hai *HAZIR-O-
NAZIR* (#4) *AL_QUR'AAN >Jaan Lo Ke
Tum Sab Mai ALLAH k RASOOL Tashreef
Farma Hain" (Surah Al-Hujraat Ayat7) >Ye
Khitaab Tamam Sahaba-E-Kiraam k Liye Hai
k Tum Mai ALLAH Ke RASOOL Tashreef
Farma Hain Or Sahaba-E-Kiraam Mukhtalif
Jaghon Pe Rehte the Or Mere AAQA
QUR'AAN Ki Dalil Se Sab k Sath Tashreef
Farma Hote the. *HAZIR-O-NAZIR* (#5)
>RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Ke Baarey
Mai ALLAH Ne Farmaya "Or Humne Tumko
Na Bheja Magar Rehmat Saarey Jahano Ke
Liye" (Surah Hajj Ayat107) >SARKAR
(AlyHiSALAM) ALLAH ki Rehmat Hain Or Ye
Rehmat Har Jaga Mojood Hai Dekhiye
QUR'AAN Mai ALLAH Farmata Hai "Or Meri
Rehmat Har Cheez Ko Ghairy Hue
Hai" (Surah Araaf Ayat156) *HAZIR-O-
NAZIR* (#6) *AL_QUR'AAN >"Beshak
Tumhare Paas Tashrif Laye Tum Mai Se Wo
RASOOL Jin Par Tumhara Mashaqqat Mai
Parna Giran Hai" (Surha Touba Ayat128)
>Ye Khitaab Qayamat Tak K Musalmano Se
Hai, Sabit Hua, >HUZOOR Qayamat Tak K
Har Musalman K Paas Hain >Har Musalman
K Har Fail Se Ba-Khabar Hain >"Mashaqqat
Mai Parna Giraan Hai" Ya'ni Tumhari Rahat-
O-Taklif Ki Har Waqt HUZOOR Ko Khabar
Hai. *HAZIR-O-NAZIR* (#7) >"A Gheb Ki
Khabren Batane Wale(Nabi) Beshak Humne
APKO Bheja HAZIR NAZIR (Shahid) Or
KhushKhabri Deta Or Dar Sunata Or ALLAH
Ki Traf Us K Hukum Se Bulata Or CHAMKA
Dene WALA AFTAB" (Ahzab.46) >Yahan
HUZOOR Ko SIRAJ- O-MUNIR (Chamka
Dene Wala SOORAJ) Kaha Gaya Yani Jis
Trah Sooraj Apne NOOR Se Pury Aalam Ko
Roshan Kye Hue He Isi Trah HUZOOR B
Apne NOOR Se Tamam Jahano Ko
Munawar Kye Hue Hain. *HAZIR-O-
NAZIR* (#8) >Or Jb Wo Apni Janon Pr Zulm
Kren To Ay Mehbub Tmhare Huzur Hazir
Hon Phr ALLAH Se Muafi Chahen Or
RASOOL Inki Shafaat Frmaen To Zarur
ALLAH Ko Bohat Toba QubuL Krne Wala
Meharban Paen" (Nisa.64) >Murad Ye K
Gunahgaron Ki Bakhshish Ki SabeeL K Lye
HUZUR To Tumhare Pas Mojud Hen, Tm
Inki Traf Mutawajoh Ho K Shafaat Mango
To HUZUR Karimana Shafaat Frmate Hen,
Malum Hua K HUZUR Hr Jaga Hazir Hen
*HAZIR-O-NAZIR* (#9) *AL_QUR'AAN
 ALLAH Ka Kaam Nhi K Azaab Kare
Jab Tak Aey Mehboob Tum In Mai Tashrif
Farma Ho" (Anfal Ayat33) >Murad Ye Ke
HUZOOR Mojud Hain Is Lye Qayamat Tak
Azaab-E-Aam Na Aayega, 2>"Jaan Lo Ke
Tum Sab Mai RASOOL'ALLAH Tashrif Farma
Hain" (Hujraat Ayat7) >In Dono Ayat Se
HUZOOR Ka Hayat Hona Sabit Hai *HAZIR-
O-NAZIR* (#10) 1>"Aey Mehboob Tumne
Na Dekha K Tumhare RABB Ne In Hathi
Walon Ka Kya Haal Kya" (Feel Ayat1)
2>"Kya Tumne Na Dekha K Tumhare RABB
Ne Qom-E- Aad K Sath Kya Kya" (Fajar
Ayat6) >In Ayaat Mai NOOR-E-NUBUWAT
Se Guzishta Dorr K Kufaar Or Un Pe Aaney
Wale Azabat K Waqiyaat Dekhna Murad
Hai, Khubsurat Nuqta Ye Hai K Jab HUZOOR
Us Waqt K Muamlat Dekh Sakte Hain To Is
Waqt Bhi Dekh Sakte Hain. *HAZIR-O-
NAZIR* (#11) *AL_HADEES >Nakirain
Maeyit Se Puchhte Hain Tum Is Rajul
(Admi) (HUZOOR KAREEM) K Baary Mai Kya
Kehte the? (Muslim J4 H2870) >Yaad Rahe
NABI Hone K Lye Jism Ki Zarurat Nhi, Jab K
Admi Hone K Lye Jism Zaruri, Dekho AAQA
Us Waqt Bhi NABI the Jab AADAM Mitti Or
Paani K Beech the to Malum Hua NABI
Jism K Sath Ek Hi Waqt Mai Beshumar
Qabur Mai HAZIR-O-NAZIR, Ab Munkir
Bager Jism K Admi Dikhaen *HAZIR-O-
NAZIR (#12) *AL_HADEES >"HUZOOR Ne
Zaid, Jaffar Or Ibn-E-Rawaha Ki Mout Se
Qabl Inki Mout Ki Khabar Logon Ko De Kar
Farmaya Ab Jhanda ALLAH Ki Talwar
KHALID BIN WALEED Ne Lya Ta_Aan K
ALLAH Ne Inko Fatah De Di" (Bukhari J2
P611) >Mota Jo Madina Se Bohat Door Hai
Wahan K Halaat AAQA Madine Se Dekhte
Hain Goya AAP Medaan-E-Jang Mai Mojood
the Is Hadis Se HUZOOR Ka Ilm-E-Gaib Or
HAZIR NAZIR Hona Sabit Hai. *HAZIR-O-
NAZIR* (#13) *AL_HADEES >Ek Shab
HUZOOR Ghabraye Hue Bedaar Hue,
Farmaya; "SUBHAN'ALLAH Is Raat Mai Kis
Qadar Khazane Or Kis Qadar Fitne Utarey
Gaye Hain" (Miskhat P109) >Malum Hua
AAQA Ainda Hone Wale Fitnon Ko
Bachashm Mulahiza Farma Rahe Hain Or
Tamam Halaat Se Ba-Khabar Hain, *HAZIR-
O-NAZIR* (#14) *AL_HADEES 1>"HUZOOR
Ne Ek Pahari Par Khare Hokar Sahaba Se
Pucha, K Mai Jo Kuch Dekh Raha Hon Kya
Tum B Dekhte Ho? Arz Ki; Nhi, Farmaya;
Mai Tumhare Gharon Mai Fitne Girte
Dekhta Hon" (Mishkat P462), 2>"Tumhare
Milne Ki Jaga Hoz-E-Kosar Hai Mai Isko Isi
Jaga Se Dekh Raha Hon" (Mishkat P547)
>In RIWAYAAT Se HUZOOR Ka QIYAMAT K
MUAMLAAT Dekhna Bhi Sabit Hua, Jo In
AHAADIS Ka Inkaar Kary Wo?? *HAZIR-O-
NAZIR* (#15) *AL_HADEES >"ALLAH Ne
Mere Saamne Saari Dunya Ko Paish Farma
Diya, Pas Mai Is Dunya Ko Or Jo Kuch Is
Mai Qayamat Tak Hone Wala Hai Is Tarah
Wazeh Dekh Raha Hon Jese Apne Hath Ki
Hatheli Ko Dekhta Hon" (Khasaais-Ul-Kubra
J2 P185) >Is HADEES K Ek Ek Lafz Pe Ghor
Karen Malum Hua MUSTAFA KAREEM
Guzishta, Ayenda Or Ta_Qayamat Hone
Wale Halaat Ko Mulahiza Farma Rahe Hain.
*HAZIR-O-NAZIR* (#16) *AL_HADEES
1>"ALLAH Ne Apna Dast-E-Qudrat Mere
Seeney Par Rakha Jiski Thandak Apne
Seeney Mai Mehsoos Ki, Pas Maine Un
Tamam Cheezon Ko Jaan Lya Jo Zameen-O-
Asman Mai Hain" (Tirmizi H3246)
2>"ALLAH Ne Mere Lye Zameen Samet di
Pas Maine Zameen K Mashriq-O-Magrib Ko
Dekh Lya (Muslim H2889) >In AHAADIS Se
Bhi HUZOOR Ka Dunya Mai HAZIR NAZIR
Hona Sabit Hua, ALLAH Munkireen Ko
Hidayat De. Aameen
*HAZIR-O-NAZIR*
(#17 >"Hazrat Abu Bakar (Radi-ALLAHO-An
hu) Apne Ghar Ka Tamam MaaL HUZOOR
(AlyHiSALAM) Ki Khidmat Mai Le Aye, To
HUZOOR Ne Farmaya K Abu Bakar tu Ne
Apne Aehel K Waste Kia Chora" Abu Bakar
Ne Kaha K "Ghar K Waste ALLAH Or Uske
RASOOL Ko Chhor Aya Hon" (Abu Dawood
J1 P243) >Siddiq-E-Akbar Bhi
RASOOL'ALLAH Ko HAZIR-O-NAZIR Jante
the Or HUZOOR Ne Bhi Aqida Sahi Hone Ki
Bina Pe Aisa Kehne Se Na Roka. *HAZIR-
O-NAZIR* (#18) >Hazrat Salma Farmati
Hain, "Mai Um-E-Salma Ki Khidmat Mai
Hazir Hoi Wo Ro Rahi thi, Maine Pucha AAP
Kyun Ro Rahi Hain? Unho Ne Farmaya K
"HUZOOR Ko Khuwab Mai Dekha APKI
Daarhi Or Sir Anwar Gard-Alud the, Maine
Arz Ki HUZOOR Kya Baat Hai? AAP NE
Farmaya, "Abhi Hussain Ki Shahadat Mai
Sharik Hua Hon" (Tirmizi J2 P731) >Is
RIWAYAT Se Baad Az'Wafaat Sahaabiyah Ka
Aqida Bhi Maloom Ho Gaya. *HAZIR-O-
NAZIR* (#19) >"Hazrat Ayesha Farmati
Hain; "Hazrat Umar Ki Tadfin Se Qabl Bager
Chadar Orhe HUZOOR K Roze Par Chali
Jaya Karti Is Khayal Se K Mere Walid
(Hazrat Abu Bakar) Or Shohar (NABI PAAK)
Hi to Yahan Hain Lekin Hazrat Umar Ki
Tadfin K Baad Unki Haya Ki Waja Se Apne
Kapron Ko Khub Achi Tarah Lapet Kar Bager
Parde K Kabhi Na Jati" (Mustadrak Haakim)
>Is Riwayat Se Amma Ayesha Ka Bhi Aqida
Sabit Hua. *HAZIR-O-NAZIR* (#20)
*AL_HADEES >Hazrat Abu Darda Riwayat
Karte Hain K HUZOOR Ne Farmaya "ALLAH
Ne Zamin Par Ambiya-E- Kiram K Jismo Ko
Khana Haraam Farma Diya Lihaza ALLAH K
NABI Zinda Hain Rizq Diye Jate Hain" (Ibn-
E-Maja, Mishkat P121) >Hazrat Shaikh
Abdul Haq Muhadis Dhelvi Is Hadees K
Tehet Farmate Hain K "ALLAH K NABI
Dunyavi Zindagi Ki Haqiqat K Sath Zinda
Hain" (Ash'at- tul-Ma'aat P576)
*HAZIR-O-
NAZIR* (#21) >AQIDA HAZIR NAZIR
Quran-O-Hadees K Baad Ab Fuqa'ha Or
Ulama- E-Ummat K Aqwal Se >Qazi Ayaz
(AlyHiREHMA) Farmate Hain, "Jab Ghar Mai
Koi Na Ho to Kaho "Aey NABI AAP Par
Salam Or ALLAH Ki Rehmat Ho" (Book Shifa
Shareef J2 P43) >Iski Sharah Mai 400 SaaL
Pehle K Aalim Mulla Ali Qaari Farmate
Hain, "Iski Waja Ye Hai K NABI-E-PAAK Ki
Rooh Musalmano k Gharon Mai HAZIR
Hai" (Sharah Shifa J3 P464)

*HAZIR-O-NAZIR* (#22) >75 Baar
HUZOOR Ki Bedaari Mai Ziyarat Karne Wale
Imam Jalal-Ud- Din Siyuti (AlyHiREHMA)

*HAZIR-O-NAZIR* (#23)
>Imam Qustalani (AlyHiREHMA) Farmate
Hain, "Hamare Ulama Ne Farmaya k
HUZOOR PAK Ki Zindagi Or Wafat Mai Koi
Farq Nhi AAP Apni Ummat Ko Dekhte Hain
Or In k Halaat Or Dil k Irado Or Baaton Ko
Janty Hain Ye AAP Par Bilkul Zaahir
Hai" (Al- Mavahib-Ul-Laduniya J4 P580)
*HAZIR-O-NAZIR* (#24) >Imam Jalal-Ud-
Din Siyuti (AlyHiREHMA)
Farmate Hain, "HUZOOR Ka 1>Ummat K
Amaal Pe Nigah Rakhna 2>Unke Liye
Astaghfar Karna 3>Balao Ko Dafa Karna
4>Zameen K Atraf Mai Jaa Kar Us Mai
Barkat Dena 5>Or Apni Ummat Ke Nek
Logo K Jannazo Mai Jana Apka Mashghala
Hai" (Al-Haavi Lil-Fatawa J2 P184)
*HAZIR-O-NAZIR* (#25) 1>Shaikh Abdul
Haq Muhadis Dhelvi (AlyHiREHMA) Farmate
Hain, "Ambiya (Aly-Him-Us-SALAAT-O-
WASALAAM) Dunyavi Haqiqi Zindagi Se
Zinda Or Baaqi, Or Amal Dar Amad
Farmane Wale Hain Is Mai Koi Kalaam
Nhi" (Sharah Fatooh-Ul-Gaib P333),
2>Shaikh Shahab Soharwardi Farmate Hain,
"Jese Insan ALLAH Ko Har Haal (Zahiri/
Batini) Mai Waqif Jane, RASOOL Ko Bhi
HAZIR-O-NAZIR Jaane" (Awarif-Ul-Ma'arif
P125)
*HAZIR-O-NAZIR* (#26) 1>Shah
Wali-Ullah Muhaddis Dehalwi (Har Aalim
Banne Wale Talib-E-Ilm Ki Sanad Mai Inka
Naam Hai) Farmate Hain, "Is Mai Koi Shak
Nhi K Tamam Fiza RASOOL'ALLAH Ki Rooh-
E-Anwar Se Bhari Hoi Hai Or AAP
(AlyHiSALAM) Ki Rooh-E-Pak Is Fiza Mai
Taiz Hawa Ki Tarah Moujen Maar Rahi
Hai" (Fuyooz-Ul-Harmain P28) *HAZIR-O-
NAZIR* (#27) >Sheikh Abdul Haq
Muhaddis Dehalwi (AlyHiREHMA) Farmate
Hain, "Agr Kaha Jaye K ALLAH Ne HUZOOR
K Jism-E- Athar Ko Aisi Haalat-O-Qudrat
Ata Farmai Hai K Jis Makaan Mai Chahen
Tashrif Laa Sakte Hain Bi Ayenihi Isi Jism K
Sath Ya Jism-E-Misaali K Sath, Asman Par
Ya Khuwah Qabar Main, To Ye Bilkul Durust
Hai, Har Halat Mai Qabar Se Khas Nisbat
Rehti Hai" (Madrij-Un-Nubuwah J2 P50)
*HAZIR-O-NAZIR* (#28) >Imam Ghazali
(AlyHiREHMA)  Farmate
Hain; "HUZOOR Ko Sahaba Ki Roohon K
Sath Aalam-E- Dunya Mai Ghoomney Ka
Ikhtiyaar Hasil Hai, Aksar Oliya Ne HUZOOR
(AlyHiSALAM) Ko Dekha Hai" (Rooh-Ul-
Bayan J10 P114)
*HAZIR-O-
NAZIR* (#29) >Imam Jalal-Ud-Din Siyuti
 Farmate Hain, " Agr Log
Ye Aqida Rakhen K HUZOOR (AlyHiSALAM)
Ki Rooh Or Apki MisaaL Molud Shareef
Parhne, Khatam-E-Ramzan Or Naat
Khuwani K Waqt Ati Hai to Jaiz Hai" (Sharah
Sudur) >Ulama Or Saaliheen K Aqaid Se
Pata Chala K HUZOOR Ki Nigah Har Waqt
Aalam K Zarre Zarre Par Hai Or AAP
HAZIR-O-NAZIR Hain. >>Ab Mukhalifin Ki
Apni Kitabon Se, Next
*HAZIR-O-
NAZIR* (#30) >AhL-E-Hadees Molvi
Abdullah Rupari Ne Pur Zor Dalail Se Sabit
Kya K "Jab Qabar Mai Teesra SawaL Hoga
Us Mai Lafz "Haaza" Hai, Is Se Sabit Hua K
RASOOL'ALLAH (AlyHiSALAM) Qabar Mai
HAZIR Hote Hain (Fatawa Ahl-E-Hadis J2
P138-145) >Ya'ni Jitne Bhi Log Inteqaal
Karte Hain HUZOOR Un Sab Ki Qabro Mai
HAZIR Hote Hain.

*HAZIR-O-NAZIR* (#31)
>Nawab Siddiq Hasan Bhopali Wahabi Likhe
Hain, "Chahiye K Namaz Mai NABI Ko
HAZIR NAZIR Jaan Kar Salaam Kare
(Maslak-Ul-Khaatam-Sharah Balugul Maram
J1 P459) HAZIR-O-NAZIR* (#32) >Molvi
Ismail Dhelvi Deobani Likhte Hain "Jab
Insan Fanaa-Fil-Laah Hojata Hai to Khudai
Taqat Se Dekhta, Sunta Or Bolta Hai, Ya'ni
Aalam Ki Har Chiz Ko Dekhta Hai Or Door-
O-Nazdik Ki Chizon Ko Pakarta Hai Yehi
HAZIR NAZIR K Ma'na Hain, Jab Maamuli
Insan Fanaa-Fil-Laah Hosakta Hai to Ba-
Darja Uola HUZOOR (AlyHiSALAM) HAZIR-
O-NAZIR Hue" (Sirat-E-Mustaqim P13)
>>Kuch Aetraaz Ke Jawab See Next. HAZIR-
O-NAZIR* (#33) *Aetraaz>Jab HUZOOR
Hazir Nazir Hain To Madine Kyun Jate Ho Or
NABI Ne Hijrat Kyun Ki? *Jawab>AAQA
Rohani tor Pe Hazir Hain Or Madine Mai
Jismani tor par, Or Jahan Chahen Tashrif Le
Jate Hain, Or Hijrat Bhi Jismani tor par thi,
Ye Aetraaz Goya Zaat-E- Ilaahi Par Hai K
Jab ALLAH Har Jaga Hai to KA'ABA Jane Ki
Kya Zarurat Or NABI Ka Mairaaj Pe Arsh
Jane Ka Kya Faida
HAZIR-O-NAZIR* (#34)
*Aetraaz>HUZOOR Hazir Hain to Namaz Ki
Imamat Q Nhi Karte Or Har Jaga AAP Imam
Hone Chahiyen? *JAWAB>Kis Ayat Ya Hadis
Mai Hai K HUZOOR Ki Mojudgi Mai Koi Or
Namaz Na Parhaye, Siddiq-E-Akbar Ne APKI
Mojudgi Mai 17 Namazen Parhai Or Imam
Ka Nazar Aana Zaruri Hai AAQA Humein
Dekhte Hain Magar Hum APKO Nhi Dekh
Sakte, Or NABI Par Ab Namaz Farz Nhi Farz
Wala Nafil Wale K Piche Nhi Parh Sakta.
HAZIR-O-NAZIR* (#35) *Aetraaz>Agr
HUZOOR Hazir Bhi Hain Or NOOR Bhi to
Chahiye K Raat Mai Kabhi Andhera Na Ho
Magar Har Jaga Andhera Hota Hai Lehaza
Ya to HUZOOR NOOR Nhi Ya NOOR Hain to
HAZIR Nhi.
*JAWAB>QURAN NOOR Hai Or
Har Ghar Mai Bhi, Farishte NOOR Hain Or
Har Insan K Sath Bhi, ALLAH NOOR Hai Or
Har Ek K Sath Bhi, Phr Bhi Raat Ko Andhera
Hota Hai Lehaza ya to Farishte, Quran,
Khuda NOOR Nhi Ya HAZIR Nhi?? *HAZIR-
O-NAZIR* (#LAST) *Aetraaz>AAQA Ne
Farmaya Door Se Parha Jane Wala Durud
Mujh tak Pohnchaya Jata Hai, Agar AAP
Hazir Hote to Durud Pohnchaya Kyun Jata?
*Jawab>Hadis Mai Ye Kahan Likha Hai K
Door Walon Ko Mai Sunta Hi Nhi, Dekho
Farishte Bhi to ALLAH Ki Bargaah Mai
A'maal Le Jate Hain Kya ALLAH K Ilm Par
Bhi Aetraaz Hai?

No comments:

Post a Comment