Sunday, 4 January 2015

Hum Ala Hazrat ko Kyun Maante Hai?

Allah Ta'ala Quran e paak mein farmata hai- "BESHAK TUMHARA MADADGAR ALLAH HAI OR USKA RASOOL OR MOMIN HAI" (SURE MAAEDA AYAT NO 55)
SUNLO BESHAK ALLAH KE WALIYO'N PAR NA KUCH KHAUF HAI NA KUCH GHUM. (SURE YUNUS, AYAT NO 61)

*Hadees e Qudasi *ALLAH Apne Nek Bando key Mutalik farmata Hai, me uske kaan Aur Aankhe Ho Jata Hu jisse wo Dekhta Hai Aur Sunta Hai


[ Bukhari shareef, Jild 2, Page 963 ]*

Kamil Momin ki Firasat Se Daro, Beshak Wo ALLAH key Noor Se Dekhta Hai


[ Tirmizi Shareef, Jild 2, Page 614 ]�

Pata Chala ki Apne Wali(Kaamil Momin) ki Shaan khud Allah aur uske Rasul(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Bayaan Farmai..Goya ki unhe Manne ka Zehen Diya... Ab Sawaal hai ki woh Kaamil Momin Kaun hai?
Hadees-1 "Hubbur Rasooli Sallallaho alaihe wasallam minal Eiman" ."Rasool Sallallaho alaihe wasallam ki Mohabbat Eiman hai."

(BUKHARI,J-1,KITABUL EIMAN, BAAB-8)

Hadees-2 Hazrat Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) se riwayat hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya,'Tum me se kisi ka Eiman us waqt tak kamil nahi ho sakta, jab tak ki wo apne Baap aur apni aulado se zyada mujhse mohabbat na kare'.

(Bukhari,Vol 1, Book 2, H.14).

Pata chala ki Kamil Momin Wahi hai jo Sacha Ashiq e Rasool(Sallalllahu Alaihi Wasallam) hai Aur usi ke Ta'alluk se Quran o Hadees mein Fazeelatein Aayi..

Ab Ala Hazrat Imam Ahmed Raza khan (Radi Allahu An hu) ki Zindagi ka Jaiza le to Pata Chalta hai ki Aapka Har Lamha Ishq e Rasool mein Duba huwa tha...Aapke Fatawe aur Aapki Kitaabein is baat ki Gawaahi Deti hai ki Aap ek Sache Aashiq e Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam) the..

Hadees- Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Allah Ta'ala har 100 saal per meri Ummat me ek aise Shaks ko paida karega jo Islam ko taaza kar dega.


(Mishkaat Sharif, Kitabul Ilm, Rawahul Darmi)

Isi ko Mujaddid kehte hai Jo Din ko Saaf Suthra kar deta hai Yani pichle 100 saal mein Jo Fitne aur Baddeeniyat jo Deen mein Dhakhil huwi thi uska woh Radd karta hai aur use Deen se bahar kar deta hai aur jo Cheezein Asl thi Jo deeniyat se nikal chuki thi use fir Deen mein Daakhil kar deta hai.... Is Hadees ke Tehet 14vi Sadi ke Mujaddid(Islam ko taaza karne wale) Bila shubaha Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan(Radi Allahu Anhu) hi Hai kyunki Pichle 100 saal mein Deen mein Daakhil huwe Fitno ka Aapne Zabardast Radd kiya Aur Musalmaano ke Imaan o Aqeede ki Hifazat farmai... Alahazrat Ne TAJDEED-WA-AHAYAA-E-DEEN Ke Liye Tanha Beshumar Fitno Ke Khilaaf Ilmi Or Qalmi Jihaad Kiya Jiski Nazeer Nahi milti


1) Fitna-e-Ghair Muqallidyat
2) Fitna-e-Nechiryat
3) Fitna-e-Najdiyat Wa Wahabiyat
4) Fitna-e-Firqa-e-Ahl-e-Quran
5) Fitna-e-Qadyaniyat
6) Fitna-e-Darul-Nadwah
7) Fitna-e-Falsafa-e-Qadeemah
8)Fitna-e-Waqoo'e-Kijb-e-Baari-e-Ta'aala
9) Fitna-e-Inkaar-e-Shafa'at
10) Fitna-e-Rawaafiz
11) Fitna-e-Motazila
12) Fitna-e-Falsafa-e-Jadeedah
13) Fitnah-e-Inkaar-e-Simaa-e-Mouta
14) Fitna-e-Khilafat-e-Usmaani
15) Fitna-e-Inkaar-e-Khatam-e-Nubuwwat
16) Fitna-e-Khaaksaari Firqa
17) Fitna-e-Tark Qurbani Gaaay
18) Fitna-e-Jawaz Sajda-e-Taazeemi
19) Fitna-e-Adme Jawaaz Meelad-o-Qayam-e-Tazeemi
20) Fitna-e-Inkaar Meraj-e-Jismani
21) Fitna-e-Tark-e-Mawalaat
22) Fitna-e-Aariya Samaj( Shuddhi Karan)
23) Fitnaittihad Anil Mushrikeen
24) Fitna Adme Jawaaz Tazeem Aasaare Muqaddisa
25) Fitna Adm Jawaz Kitabat Bar Kafan
26) Fitna e Touheen Hazrat Ameer Mu'aaviyah RadiAllahanhu
27) Fitna Hukm Darul Harb
28) Fitna Inkar-e-ilm-e-Ghaib-e-Ambiya Wa Auliya
29) Fitna Inkar-e-Hayat-e-Ambiya
30) Fitna Jawaz Taziya Daari
31) Fitna Jawaz Sima Ma Mazameer
32) fitna Bar Azaan-e-saani
33) Fitna Inkaar Azaan-e-Qabr
34) Fitna Adme Jawaz Mu'aaniqa Wa Musafaha-e-Eid
35) Fitna Adme Jawaz Tameerat-e-Mazaraat-e-Auliaa
36) Fitna Adme Jawaz Taqbeel-e-Ab'hameen
37) Fitna Inkar-e-Eimaan Abwen Kareemen Al Nabi
38) Fitna Jawaz Zakaat Bara-e-sadaat-e-Kiraam
39) Fitna Adme Jawaz Chiraghan Bar Mazarat-e-Suwaliheen
40) Fitna Hillat-e-Ashya Nasha Aawar
41) Fitna Hillat-e-Akul Zaagh
42) Masla-e-Qirtaas Daraahim
43) Fitna-e-Masawaat Anin Nabi
44) Fitna-e-Harkat-e-Zameen
45) Fitna Khurooj-e-Nisaa Baraye Ziyarat-e-Quboor
46) Fitna imkaan-e-Zil-e-Nabi
47) Fitna Salaat Janazatul Ghayeb
48) Fitna Nikah Maa Murtadeen
49) Fitna Adme Jawaz Ta'ayyun-e-Fatiha
50) fitna Tanqees-e-Risalat
51) Fitna Adme Aitaqaad Ikhtiyaraat-e-Ambiya Wa Auliya
52) fitna Nifaaz-e-Shirk Dar Baab-e-Nida Wa Istighasa
53) Fitna Nifaaze Shirk Fil Asmaa
54) Fitna-e-Hurmat Akul Rusar
55) Fitna Hurmat Money Order
56) Fitna Khilafat Commety
57) Fitna Tanaza-e-Dar Ruwet-e-Hilal
58) Fitna Farq-e-Bayyan Shariat Wa Tareeqat
59) Fitna Akul Ashya Haram Anil Zabeeha
60) Fitna Hurmat-e-Zabeeha Lil-Auliya

Sub'hanAllah Sub'hanAllah..

Ab Jise Allah ne Apne Deen ki khidmat ke liye Chunliya Aur jiski Fazeelat Quran o Hadees mein Bayaan huwi Aur Jise Allah ne Humara Madadgaar bataya use Na Maane to kise Maane... Beshaq Hum Ala Hazrat ko Quran o Hadees ki Roshni mein hi Humara Rehnuma o Peshwa Maante hai..

Ab Dekhiye kin Jayyed Ulama ne (jo Quran o Hadees ke Mahir Janne wale hai )bhi Ala Hazrat ko Maana hai .. Yeh un Jayyed Arab ke Ulama ke Naam Jo Ala Hazrat ko Apna Rehnuma Maante the Aur unki Kitabo'n ko Ilm o Hidayat ka Azeem khazana..

1. Shaykh Muhammad Sa’eed bin Muhammad Salam Ba Busail
2. Shaykh Ahmad bin Abdullah Abu al Khair Mirdad
3. Shaykh Muhammad Saleh bin Sadiq Kamal
4. Shaykh ‘Ali bin Sadiq Kamal
5. Maulana Shah Muhammad Abdul Haq Alahabadi Muhajar Makki
6. Shaykh Sayyid Muhammad Marzooqi Abu-Hussain bin lAbdur Rehman Hussain
7. Shaykh Umer bin AbuBakr ba Junaid

8. Shaykh Muhammad ‘Abid bin Husain Maliki
9 Shaykh Muhammad ‘Ali bin Hussain Maliki
10. Shaykh Muhammad Jamal bin Muhammad Amir bin Hussain Maliki
11. Shaykh As’ad bin Ahmad Dahlaan
12. Shaykh Abdur Rehman bin Ahmad Dahlaan
13. Maulana Ahmad bin Muhammad Ziaudin Bengali Qadri Chishti
14. Shaykh Muhammad bin Yusaf Khiat

15. Shaykh Muhammad Saleh bin Muhammad ba Fazl
16. Shaykh Abdulkarim bin Hamza Daghastani Hashmi Naji
17. Shaykh Muhammad Sa’id bin Muhammad Yamani
18. Shaykh Muhammad Hamid bin Ahmad bin ‘Auz Jadawi
19. Shaykh Uthman bin Abdus Salam Daghastani

20. Shaykh Sayyid Muhammad Sa’eed bin Muhammad Maghrabi
21. Shaykh Muhammad bin Ahmad Umeri Wasti
22. Shaykh Sayyid Abbas bin Muhammad Ridwan
23. Shaykh Umer bin Hamdan Mahrasi
24. Shaykh Sayyid Ahmad bin Isma‘il Barzanji
25. Shaykh Abdul Qadir Taufiq Shalabi

26. Shaykh Sayyid Isma‘il bin Khalil
27. Shaykh Muhammad Yusuf Afghani
28. Shaykh Muhammad Tajuddin bin Mustafa Ilyas
29. Shaykh Sayyid Ahmad al Jazairi
30. Shaykh Khalil bin Ibrahim Kharbuti
31. Shaykh Sayyid Muhammad bin Muhammad Habib Didawi
32. Shaykh Muhammad bin Muhammad Sosi Khiari
33. Shaykh Muhammad Uzayr Wazir [Alaihim ar-Rahma wa ar-Ridwan]


Maana Arab ne Tujko Yagana.. Gaya Ajam ne Tera Tarana.. Maane hai Tujko Saara Zamana... Haami e Sunnat Ala Hazrat.

No comments:

Post a Comment