Saturday, 3 January 2015

GAIR MUQALLID K AITRAZAAT ILM-GAIB PAR OR UNKE JAWABAAT

 Haazir o Naazir o Noor o Bashar o Gaib ko Chhor
Shukr kar Hain wo tere Aibo ko chupaaye hue

Khuda ko

Dekha nahi aur ek maan liya
Ke Jaante the Sahaba Huzoor Jaante hain


Eteraz (1):
Agar Nabi ko Ilm hota to Hadrat Aisha Siddeeqa ke haar ke gum hone par pareshan na hote .. (Ma'az-Allah)

Jawaab: Nabi ko ek haar gum hone par pareshan kehne

waalo! Sar sharm se jhuka lo...
Mera Nabi to Uhod Pahaad ke andar chupe hue sone ke zakhaair ki khabar de chuka hai.. Momino ki Maan ka haar kaise nigaaho se posheeda

reh sakta hai...

Us Hadees se Na Bataana Sabit hua, na ke na jaanna aur na bataane me kai Hikmaten hoti hain..

Hazraat e Sahaba ne chaand ke ghatne barhne ka sabab

daryaaft kiya ...
Rab Ta'ala ne na bataaya..
To kya Khuda e paak ko bhi Ilm nahi????

Marzi e Ilaahi ye thi, Siddeeqa ka Haar gum ho, Musalman us ki talash me yahan ruk

jaayen, zohar ka waqt aa jaaye aur pani na mile..
tab Huzoor ﷺ se Arz kiya jaaye ke ab kya karen?
tab Ayat e Tayammum naazil ho jis se Hadrat Aisha siddeeqa ki Azmat

ke danke qiyaamat tak bajte rahen aur Ma'loom ho jaaye ke Inhi ke Tufail hum ko Tayammum mila...

Jo Nabi Asmano ke Sitaaro ki Ta'dad Jaanta hai..
Jo Nabi Apne tamam

ummatio ki nekiyo ki ta'dad jaanta hai..
Jo Nabi Badr me kis kis Maqaam par kaun kafir marega ... Jaanta hai...
Wo Nabi Unt ke neeche pade hue haar ko bhi jaanta hai ..

Agar Us waqt Haar ke baare me Bata diya jaata to Ayat e Tayammum kaise naazil hoti???


Eteraaz (2) :
Agar Nabi ko Ilm hota to Hadrat Aisha Par tohmat lagi to khamosh na

rehte...

Jawaab:Khud Rab ne bhi bahot roz tak un ki Ismat ki Ayaat na utaareen to kya Rab ko Khabar na thi?

Kash! Naawilo ko chhor kar Hadees e Bukhari hi parh li hoti

to jihaalat se Munh kaala na hota..

ماعلمت على اهلي الا خيرا
"Mai apni biwi ki paak daamani hi janta hu"

Agar pehle hi khabar de dete to Musalmano ko Tohmat ke Masaail kaise

Ma'loom hote?
agar pehle hi farma dete Muqaddamaat me Tahqeeqat karne ka Tareeqa hame kaise aata?

Is me Marzi e Ilaahi thi ke Mahboob ﷺ Teri zawja Mutahhara ki gawaahi

Rab dega.  Un ki Ismat ki gawahi me Qur'an ki Ayaten utaar Qiyamat tak ke Musalmano se tamam dunia me un ki paak daamani ke khutbe Parhwaaunga..

Taa ke Qur'an me un ki

Iffat ki bhi Tilawat karen...

Lutf ye hai ke Hadrat Yusuf Alaihis Salam ko zulaikha ne tohmat lagaai ... to Rab Ta'ala ne unki safaai khud bayan na farmaayi balke ek

sheer khwar bacche ke zariye chaak daamani se paak daamani farma di..

Kya Ma'az-Allah Allah ko ilm nahi tha ke ek bacche se gawaahi dilwaai?
Magar Mahboob ﷺ ki zawja

mutahhara ko ilzam laga to kisi bacche ya Farishte se ismat ki gawahi na dilwaai gayi..
balke ye gawahi khud khaliq ne di aur gawahi ko Qur'an ka juz banaya.. taake Ye

gawaahi iman ka rukn bane aur Makhlooq ko Huzoor ﷺ ki Mahboobiyat ka pata chale ..


Eteraz (3) :
Agar Nabi ﷺ ko ilm hota to khaibar me zaher aalood gosht na khaate aur

sahaaba ko na khaane dete..

Jawaab:Us waqt Huzoor ﷺ ko bhi ye ilm tha k is me zaher hai aur ye bhi khabar thi ke zaher hum par ba hukm e ilaahi asar nahi karega aur ye

bhi khabar thi ke Rab ta'ala ki marzi ye hi thi ke hum use kha len taake ba waqt wisaal us ka asar laute aur hum ko shahadat ki wafat ataa farmaayi jaaye .... Raazi ba

Raza the..

Eteraaz (4):
agar Huzoor ﷺ ko ilm e gaib hota to beer e Ma'oona ke munafiqeen dhoke se ap se 70 sahaaba kyu le gaye? Jinhe wahan le ja kar shaheed kar diya

aur ap ne kya unhe jaante hue shaheed karwaya?

Jawaab: Ji haan!
Huzoor ﷺ ko ye bhi khabar thi ke Beer e Ma'oona wale munafiqeen hain.
Aur ye bhi khabar thi ke ye log un

70 sahaaba ko shaheed kar denge..
Aur ye bhi khabar thi ke marzi e ilaahi yahi hai aur un 70 ki shahadat ka waqt aa gaya...
Ye bhi jaante the ke Rab ta'ala ki raza par

raazi rehna bande ki shan hai ...

Ibraheem AlaihisSalam to marzi e ilaahi pa kar farzand par chhuri le kar tayyar ho gaye .... kya ye be gunah par zulm tha?????

Nahi!

Nahi! Balke Raza e Ilaahi e Maula par Raza Thi..

Rab Ta'ala ko to khabar thi ke gosht me zaher hai phir us ne ba zariya e Wahiy mana kyu na farmaya?
Allah Ta'ala to

janta hai ke Beer e Ma'oona wale un 70 As'haab ko shaheed kar denge phir us ne Wahiy bhej kar kyu na rok diya?
Ke aye pyare Mahboob! Un 70 Sahaba ko na bhejna ye

shaheed ho jaayenge ...


 Aye Nabi ke Ilm e Gaib ke munkiro! Jawaab do....


Eteraaz (5):
Agar Huzoor ko ilm e gaib hota ke Me'raaj me 5 Namazen milni hain to pehli baar 50

Namazen kyu le aaye?

Jawaab: Waah! Kya Himaaqat hai.. jo eteraz Huzoor ﷺ par karna chaah rahe the us eteraz ko shan e baari ta'ala par kar daala ..

Is ka matlab

Ma'az-Allah kya Allah Ta'ala bhi nahi janta tha ke Namaazen tk 5 deni hain 50 kyu de raha hu?

Eteraaz(6):
Agar Ilm e Gaib hota to Qur'an kyu utra?

Jawaab: Be waqoofo!

Us Ilm e Nabuwwat me Mazeed taraqqi aur barkat ke liye hi to Qur'an utra hai ... kyu ke Qur'an tamam Uloom ka Mamba' o sar chashma hai...

Kash! Jubba Qubba waale

shaitaano se ilm ki nafi seekhne ke ba jaaye Iqbal ke paas hi baith kar Uloom e Nabuwwat ki azmat dekh lete ..... ke
Tujhe kitab se mumkin nahi Faraagh ke tu
Kitaab

khwaan hai Sahib e kitaab nahi...........

Eteraaz (7) :
agar ilm hota to Bai'at e Ridwaan kyu hui?

Jawaab: Bai'at e Ridwan Nabi ke Ilm e Mubarak ko sabit karne ke liye

hui .... ke Usmaan zinda hain..
Kyu ke Bai'at zinda ki li jaati hai Maiyyet ki nahi ...
sach hai....
khuda jab deen leta hai to Aqlen chheen leta hai...

Tum Shaitan se

muhabbat karne waale us ke Ilm ko maante ho..
Hum Mahboob ﷺ ke deewane Ilm e Mustafa ﷺ ko Qawi maante hain ....


Huzoor ﷺ ne Sahaba e kiraam ki tasalli o tashaffi ke

liye Bai'at mun'aqid karaai ke Mere Gulaamo! Fikr na karo mera Usman zinda hai ... isi liyr un ki bai'at le kar un ki hayat par Bai'at ke zariye Muhar e Tasdeeq Sabt

kar raha hu ke Aqa ﷺ ne apne dast e mubarak ko dast e usman qarar diya..

Agar shaheed ho gaye hote to bai'at nahi lete ...

Dosri baat: jab Huzoor Uhod ki choti par

Qadam Ranja ho kar Sayyedna Farooq e Azam o Sayyedna Usman e Gani ki shahadat ki khabar de sakte hain to un ke asbab e shahadat ko jaante hain

1 comment:

  1. ماشاء اللہ، پورا بلاگ ہی مدینہ مدیدنہ ہے! اللہ آپ کو جزائے خیر عطا فرمائے

    ReplyDelete