Sunday, 4 January 2015

MURDE KO DAFAN KARNE KE BAD QABAR PE AZAAN

EK AHEM TOPIC

✅AAJ KAL KAFI BAD AQEEDA AITRAAZ KARTE HAI KI MURDE KO DAFAN KARNE KE BAD USKI QABR PAR AZAN DENA NAZAIZ HAI AUR BIDD'AT HAI....

✅LEKIN UN NADANO KO PATA NAHI KI WO AZAN MOMINO KI QABRO PAR HI DI JATI HAI KYUNKI SHETAN KA AAKHRI WAAR QABR ME HI HOTA HAI AUR AZAN SUNKAR SHETAN KOSO DOOR BHGTA HAI.......


🚦Aaqa Ne Farmaya Azan Ki Awaz Sun kar Shaitaan 36 Meel Door Bhag Jata He.....

📕(Muslim Sharif Jild-1 Page No 147)

🚦Qadimi Kutub Khana Imam Tirmizi Hadis Likhte Hen k Jab Murdy Se Qabr Me Sawalat Hote He To Shaitaan Mudakhlat (Dakhl Andaji) Karta He....

📚(Nawadirul Usool Page No. 322)

✅Is Liye Hum Sunni Momin Musalmano ki Qabr Par Azan Dete He.....


🚦Aaqa Ek Qabr Par Der Tak Buland Awaz Se Subhan ALLAH or ALLAHO Akber Parhty Rahe Phir Farmaya in Kalimat Ki Barkat Se Qabr ki Tangi ko Door kar k Kushada Kardiya Gaya

📘(Musnade Ahmed Jild 3. Page No.360)

🚦Isse Pata Chala ALLAHO Akber Ki Sadayen Buland Karny Se Qabr ki Tangi Door Hoti He..


🚦Jab Aadam Alaehissalam Jannat Se is Dunya Me Utry To Apko Ghabrahat Hui To Jibril Alaehissalam Ne Utar Kar Azan Di......

📗(Hilyatul Auliya Jild-2, Page No 107)

🚦Pata Chala Ghabrahat k Waqt Bhi Azan Deni Jibril Alayhissalam Ki Sunnat He Aur Murda Qabr Me Ghabrata He is Liye Sunni Qabr Par Azan Dete Hen......


🚦Ek Dafa Aaqa Ne Hazrat Ali ko Ghamgeen Paya To Frmaya Ali k Kan Me Azan Do Azan Gham or Parishani Ko Dafa Karti He

📗(Mirqat Jild-2,Page No 149)

🚦Pata Chala Azan Namaz k Ilawa Gham or Parishani Door Karne Ke Liye Bhi Di Jati He Aur Murda Qabr Me Ghamgeen Hota He is Liye Sunni Qabr Par Azan Dete He......

🚦SAWAL:-

📛AZANE QABR PAR ATRAZ
(LAST MSG)
Fiqhe Hanfi Me Qabr Par Azan Dene Ka Kahen Saboot Nahi...

🚦Jawab :-

📌Fatawa Shami Jo Deobandio Ke Nazdik Bhi Mustanad He Saaf Likha He Ke Qabr Par Azan Dena Sunnat He Lekin Allama Ibne Hajar Shafae Ne Sunnat Nhi kaha...
(Magar Azan Dene ka Mana Bhi Nhe kiya).

📕(Fatawa Shami Jild- 1 Page No 283 Babul Azan)

💠ISI TOPIC PAR KAL KI POST ME AUR BHI ROSHNI DALI JAEGI.....



ﺇﻳﺬﺍﻥ ﺍﻷﺟﺮ ﻓﻲ ﺃﺫﺍﻥﺍﻟﻘﺒﺮ
🚦Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr

☑Sawal: -

🚦Kya Farmate Hai Ulma e Deen Is Masle Mai Ki Dafan Ke Waqt Qabr Par Jo Azaan Kahi Jati Hai, Wah Sar'an Jaiz Hai Ya Nahi ?

☑Jawab:-
ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﺍﻟﺮﺣﻴﻢ

🚦Kuch Ulmae Deen Ne Qabr Mai Mayyat Rakhne Ke Waqt Azaan Dene Ko Sunnat Farmaya Hai...

🚦Jaise Ki Allama Ibn e Hajar Makki wa Allama Khairul Millah Waddeen Ramli Ne Apni Kitab Sharah Awab Wa Hasia Bahruraik Mai Bayan Kiya Hai,

🚦Mazkoora Wala Sawal Mai Azaan Ke Bare Mai Poocha Gaya Hai Uska Jaiz Hona Bila Subah Jaiz Hai Shariat e Mutahra Me Iske Mana Hone Par Hargiz Koi Daleel Nahi...

🚦Aur Jis Kaam Mai Shariat Ne Mana Na Kiya Ho Wah Kaam Kabhi Mana Nahi Ho Sakta Faqat Yahi Ek Daleel Qabr Par Azaan Jaiz Hone Ke Liye Kafi Hai...

🚦Jo Log Qabr Par Azaan Dene Ko Mana Karte Hai wah Shariat Se Apne Dawe Ko Sabit Karke Dikhae,

🚦Yanha Daleelo Ke Maidan Mai Aakar Mai Bahut Daleelo Se Qabr Par Azaan Ke Jaiz Hone Ko Shariat e Mutahra Se Sabit Kar Sakta Hu Chand Daleele Aapki Kidmat Mai Pesh Karta Hu.

📚{Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr page.6}

🚦ALAHAZRAT KI IS KITAB MAI AZAN E QABR KE MOZU PAR BAHTREEN DALAIL HAI AAGE KE PART ME KUCH DALEELE PESH KI JAEGI



☑HADEES:-

ﺳﻨﻦ ﺍﺑﻦ ﻣﺎﺟﻪ« ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺠﻨﺎﺋﺰ«ﺑﺎﺏ ﻣﺎ ﺟﺎﺀ ﻓﻲ ﺇﺩﺧﺎﻝ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﺍﻟﻘﺒﺮ

ﻋﻦ ﺳﻌﻴﺪ ﺑﻦ ﺍﻟﻤﺴﻴﺐ ﻗﺎﻝ ﺣﻀﺮﺕ ﺍﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﻓﻲ ﺟﻨﺎﺯﺓ ﻓﻠﻤﺎ ﻭﺿﻌﻬﺎ ﻓﻲ ﺍﻟﻠﺤﺪ ﻗﺎﻝ ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻓﻲ ﺳﺒﻴﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻠﻰ ﻣﻠﺔ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﻓﻠﻤﺎ ﺃﺧﺬ ﻓﻲ ﺗﺴﻮﻳﺔ ﺍﻟﻠﺒﻦ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻠﺤﺪ ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺃﺟﺮﻫﺎ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﻭﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺟﺎﻑ ﺍﻷﺭﺽ ﻋﻦ ﺝﻧﺒﻴﻬﺎ ﻭﺻﻌﺪ ﺭﻭﺣﻬﺎ ﻭﻟﻘﻬﺎ ﻣﻨﻚ ﺭﺿﻮﺍﻧﺎ ﻗﻠﺖ ﻳﺎ ﺍﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﺃﺷﻲﺀ ﺳﻤﻌﺘﻪ ﻣﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺃﻡ ﻗﻠﺘﻪ ﺑﺮﺃﻳﻚ ﻗﺎﻝ ﺇﻧﻲ ﺇﺫﺍ ﻟﻘﺎﺩﺭ ﻋﻠﻰ ﺍﻟﻘﻮﻝ ﺑﻞ ﺷﻲﺀ ﺳﻤﻌﺘﻪ ﻣﻦ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻞﻯ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ

🚦Ibn E Maja Wa Baihaqi Ne Saeed Ibn E Musayyab Se Riwayat Kiya Hai Ki:

🚦Mai Hazrat Abdullah Ibn E Umar Ke Sath Ek Janaze Mai Gaya Jab Mayyat Ko Qabr Mai Rakha Gaya Tab Hazrat Abdullah Ibn Umar Ne Kaha Ki "BISMILLAH WA FI SABILILLAHI" Aur Jab Qabr Band Karne Lage To Dua Ki Ilahi !
Is Yani Murde Jo Shaitan Se Bacha Aur Qabr Ke Azaab Se Mahfooz Rakh Iske Baad Hazrat Abdullah Ibn E Umar Ne Farmaya Ki Yah Maine Rasoollullah
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Se Suna Hai |

🚦Imam Tirmizi Amar Ibn E Murra Tabai Se Riwayat Karte Hai Ki Jab Mayyat Ko Qabr Mai Rakha Jata Hai Tab Shaba Kiram Wa Tabaeen Yah Dua Karne Ko Mustahb Samjhte The Ki Ilahi Ise Shaitan Se Panah De.

🚦Ibn E Abi Saiba Jo Imam Bukhari Wa Muslim Ke Ustad Hai Wah Apni Tasneef ﺍﻟﻤﺼﻨﻒMai Hazrat Khusema Se Riwayat Karte Hai Ki

ﺍﻟﻤﺼﻨﻒ« ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺠﻨﺎﺋﺰ«
ﻣﺎ ﻗﺎﻟﻮﺍ ﺇﺫﺍ ﻭﺿﻊ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﻓﻲ ﻗﺒﺮﻩ

ﻋﻦ ﺧﻴﺜﻤﺔ ﻗﺎﻝ ﻛﺎﻧﻮﺍ ﻳﺴﺘﺤﺒﻮﻥ ﺇﺫﺍ ﻭﺿﻌﻮﺍ ﺍﻟﻤﻴﺖ ﻓﻲ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﺃﻥ ﻳﻘﻮﻟﻮﺍ ﺑﺴﻢ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻓﻲ ﺳﺒﻴﻞ ﺍﻟﻠﻪ ﻭﻋﻠﻰ ﻣﻠﺔ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺍﻟﻠﻬﻢ ﺃﺟﺮﻩ ﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻘﺒﺮ ﻭﻣﻦ ﻋﺬﺍﺏ ﺍﻟﻨﺎﺭ ﻭﻣﻦ ﺷﺮ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ

🚦Shaba Kiram Jab Kisi Mayyat Ko Dafan Karte Is Dua Ke Karne Ko Mustahab Samjhte Thi Ki ALLAH Ke Naam Se ALLAH Ki Rah Mai Rasoollullah
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ki Millat Par Ilahi Ise Yani Mayyat Ko Azabe Qabr,Dozakh,Wa Maloon Shaitan Se Panah De.

🚦Mundarza Wala Hadeeso Se Sabit Hua Ki Us Waqt Yani Dafan Ke Waqt Shaitan Ke Dakhal Hai Aur Shaitan Ko Door Karna Sunnat Hai

🚦Sabit Ho Cukha Hai Ki Shaitan Ko Door Karne Ke Liye Azaan Dena Accha Tareeka Hai To Yah Bhi Sabit Hua Ki Qabr Par Azaan Dena Shariat Ke Mutabik Hai.

✅QABR PAR AZAN DENA

☑Sawaal :-

🚦Kya Mayyat ko Dafnany ke baad qabr per Azan deni chaiye ya nahi...

☑Jawab :-

🚦Jab Qabr me Murdy ko dafan kiya jata he Aur uske Uper mtti dal di jati he to wo faristo ke saat shittan mardud bhi hazir hota he..

☑Hadees :-

🚦Sahi Bukhari aur Muslim sarif me he ke Hazeat Abu Hurera se Riwyat he sarkar Sallahu alayhiwasallm ne Irsad farmaya ke jab Mazzin azan deta he to tab shaitaan apni peeth Ghuma kar bhag jata he..

🚦Dusri Hadis me he ke jab Azan hoti he to tab shaitaan 36 mil dur tak bhag jata he
Aur jab murdy ko Qabr me Dafan kiya jata he to shaitaan wha hazir hota he per jab azan ki awaz usky kano per aati he to wo bhag jata he is se ye sabit hua ke azan dena chahiye kiyu ke jab farishty murdy se sawal kary to usey azan ke alfaz yaad aty he aur wo sahi jawab deta he..

📚 Hawala kitab.
(AZANE QABR MUSANNIF)

✏ ALA HAZRAT IMAME AHMAD RAZA KHAN FAZILE BARELVY



☑HADEES:-

🚦Imam Ahmad,Tibrani,W a
Bahiqi, Hazrat Jabir Ibne Abdullah
Radiallahuanhu Se Riwayat Karte
Hai Ki:-

🚦Jab Hazrat Sa'ad Ibne Ma'az Radiallahuanhu Ko Dafan Kiya Gaya
Aur Qabr Band Kar Di Gayi,
Tab Sarkare Do Aalam Sallallahualehi
wasallam Bahut Waqt Tak Subhanallah,
Subhanallah Farmate
Rahe Aur Sahaba Kiram Bhi Huzoor
Ke Sath Sath Subhanallah
Subhanallah Kahte Rahe Iske Baad Huzoor Paak
Sallallahualehiwasallam Allahuakbar Allahuakbar Kahte
Rahe Sahaba Kiram Bhi Huzoor Ke
Sath Sath Allahuakbar Allahuakbar
Kahte Rahe| Iske Baad Sahaba Kiram Ne Bargahe Risalat Mai Arz Ki Ya Rasoolallah
{sallallahualehiwas allam} Aapne Shuruaat Mai Tasbih
{Subhanal lah} Aur Aakhir Mai
Takbeer{Allahua kbar} Farmaya Iski Wajeh Kya Hai ?

🚦Irshad Farmaya Ki Yah Nek Mard {Hazrat Sa'ad} Par Unki Qabr Tang Ho Gayi Thi Yanha Tak Ki Allah Tala Ne Unse Yah Taqleef Door Farma
Di Aur Qabr Ko Chodi Farma Di...

🚦Allama Tibri Sharah Mishkat Sharif Mai Farmate Hai Ki Hadees Ka Mayne Yah Hai Ki Mai Aur Tum Ek
Sath Milkar Sab Allahuakbar
Allahuakbar, Wa Subhanallah
Subhanallah Kahte Rahe Yanha Tak
Ki Allah Tala Ne Inko Ta'ngi Se Najat
Di.

🚦Hadees Se Sabit Hua Ki Sarkare Do Alam {Sallallahualeh iwasallam} Ne Khud Mayyat Par Asaani Ho Is Liye
Dafan Ke Baad Qabr Par Allahuakbar Allahuakbar Farmate
Rahe Yahi Lafz Allahuakbar Azaan
Mai 6 Martaba Hai....

🚦Sabit Hua Ki Yah Kaam
{Qabr Par Azaan} Sunnat Ke
Mutabik Hai Azaan Me In Alfazo Se
Koi Nuqsan Nahi Aur Yah Kaam
Sunnat Ke Khilaf Bhi Nahi Balki
Fayda Hai Kyunki Allah Ki Rahmat
Ke Aane Ke Liye Zikr E Khuda Karna
Jaroori Hai|

🚦Yah Tarika Ameer ul Momineen Hazrat Umar Farook E Azam ,
Hazrat Abdullah Ibn E Umar,
Hazrat Abdullah Ibn E Masood,
Hazrat Imam Hasan Mujtaba,
Wa Bahut Se
Sahaba Radiallahuanhum azmaeen
Ke Tarike Ke Mutabik Hai....

☑Fiqah Ki Kitab "Hidaya" Mai Hai Ki:-

🚦Bayan Karda Qalimat Mai Se Kuch
Bhi Kam Nahi Karna Cahiye Kyunki
Huzoor {Sallallahualeh iwasallam}
Se Esi Tarah Manqool Hai Isliye Isme Kuch Ghatana Nahi Cahiye....
?
?Albatta Agar Isme Kuch Alfaz Badahana Cahe To Jaiz Hai Kyunki Isme Khuda Ki Tareef Aur Bandgi
Ka Bayan Hai Aur Khuda Ki Tareef
Aur Bandgi Zahir Karne Ke Liye Or
Kalme Jyada Karne Se Koi Mumaniat
Nahi.

🚦Maine Apni Kitab "Sifaul Lazzain Fi Qawnit Tsafohe Bi Qaffil Yadain "
Mai In Sab Baato Ka Zikr Kiya Hai.


📚(Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr safa.8-9)

(By Sarkar Alahazrat radiallahuanhu}




🚦Sunnat Hadees Aur Fiqah Se Sabit Hai Ki Marne Ke Waqt Ki Halat Mai Murde Ke Pas LAILAHAILLALLAH Kahte Rahna Cahiye Taqi Yah Sunkar Usko Qalima Yad Aa Jaye......

☑HADEES;-

🚦Hadeese Mutawatir Mai
Ahmad, Muslim,
Abu Dawood,
Tirmizi,
Nasai,
Ibn E Maza, Ne Hazrat Abu Saeed Khudri,
Hazrat Abu Huraira,
Wa Ummul Momeneen Hazrat Aisha Radiallahu anha Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor E Aqdas
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Irshad Farmate Hai Ki:-

🚦"Tumhare Murdo Ko Laillahillallah Shikhao"
Jo Shaks Marne Ke Waqt Ki Halat Mai Hai Wah Murde Ki Tarah Hai Usko Qalima Shikhane Ki Jarurat Isliye Hai Ki Khuda Ke Fazl Wa Karam Se Uska Khatma Qalime Par Ho Aur Wah Shaitan Ke Jaal Mai Fanskar Bhoolne Aur Bahkne Se Mahfooz Rahe.
Wa Jo Shaks Dafan Ho Cuka Hai Wah Haqiqat Mai Murda Hai Usko Qalima Shikhane Ki Jaroorat Isliye Hai Ki Khuda Ke Fazl Wa Karam Se Use Munkar Nakeer Ke Sawalo Ka Jawab Yad Aa Jaye Aur Wah Shaitan Ke Bahkane Se Mehfooz Rahe.

🚦Bila Subah!
Azaan Mai Qalima "LAILAHAILLALLAH" 3 Martaba Hai Balki Mukammal Azaan Ke Lafz Sunkar Munkar Naqeer Ke Sawalo Ke Jawab Yaad Aa Jate Hai
Munkar Naqeer Ke 3 Sawal Hote Hai:-
[1] M'an Rabbuka:Tera Rab Kon Hai ?

[2]Ma Deeno Ka:Tera Deen Kaun Sa Hai?

[3]Ma Qunta Taqoolu Fi Hazar Rajul: Tu Is Mard Yani Nabi
{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ke Liye Kya Aqida Rakhta Hai?

🚦Ab Azaan Ke Shuru Mai:- ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR.
Wa
ASHADHUA'NL LAILAHAILLALLAH, ASHADHUA'NL LAILAHAILLALLAH.

🚦Aur Azaan Ke Akhir Mai:- ALLAHUAKBAR,ALLAHUAKBAR LAILAHAILLALLAH|

🚦Yah Lafz Aate Hai Yah Tamam Lafz Munkar Naqeer Ke Pahle Sawal *M'an Rabbuka ? KA Jawab Shikayenge Yah Lafz Sunkar Yad Aayega Ki Mera Rab ALLAH Hai.....



💠MURDE KO DAFAN KARNE KE BAD QABAR PE AZAN...

☑HADEES:-

🚦Abu Yala,
Hazrat Abu Huraira Radiallahuanhu Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor E Aqdas{SALLALLAHUALEHI
WASALLAM} Farmate Hai Ki:-

🚦"UTFEUL HREEQA BITTAQBIRE"
Yani Aag Ko Taqbeer Se Buzaho...

☑HADEES:-

🚦Ibn E Aadi,
Wa Ibnus Sunni,
Ibn E Asakir,
Hazrat Abdullah Ibn E Amar Ibn E Aas,Radiallahuanhum Se Riwayat Karte Hai Ki Huzoor Pur Noor{SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Farmate Hai Ki:

🚦"JAB AAG DEKHO ALLAHUAKBR KAHTE RAHO KI WAH AAG KO BUZHA DALTA HAI....

🚦Allama Mnawi Tafseer Jame Sageer Mai Farmate Hai Ki Taqbeer Kahe Yani Khoob Allahuakbar Kaho Kyunki Aesa Karne Se Aag Buzh Jayegi.....

🚦Mulla Ali Qari Alehi Rahmatul Bari Is Hadees Ki Sharah Mai Farmate Hai Ki Huzoor E Aqdas
{SALLALLAHUALEHI
WASALLAM} Qabr Ke Pas Der Tak Allahuakbar Kahte Rahe W'ah Hadees Aur Y'ah Hadees Ki Jisme Ki Aag Dekhkar Taqbeer Kahne Ka Bayan Hai Yah Dono Hadeeso Ka Huqm Wa Gazbe Illahi Ko Buzane Ke Liye Hai...
Isiliye Aag Dekhkar Taqbeer Allahuakbar Kahna Mustahab Hai....

🚦Kitab Wasiltunnajat Mai Hartul Fiqah Ke Hawala Se Bayan Hai Ki Qabristan Walo Par Taqbeer Kahne Mai Hiqmat Hai Ki Rasool e Aqram {SALLALLAHUALEHIWASALLAM} Ka Irshad Hai Ki

🚦"IZA RAYTUMUL HAREEKA FA KABBERU"
Yani Aag Lage Aur Tum Apne Hatho Se Use Buzha Na Sako To Taqbeer Kaho Kyunki Taqbeer Ki Barkat Se Aag Buzh Jayegi Kyunki Qabr Ka Azaab Bhi Aag Se Hota Hai Aur Use Ham Hamare Hatho Se Buzha Nahi Sakte Isliye Taqbeer Kahni Cahiye Ki Taqbeer Ki Wajeh Se Dozakh Ki Aag Se Najat Ho....

🚦Yaha Par Sabit Hua Ki Musalman Ki Qabr Par Taqbeer Allahuakbar Allahuakbar Kahna Ek Tarah Ki Sunnat Hai To Qabr Par Azaan Dena Bhi Sunnat Ke Mutabik Hi Hai...

🚦Azaan Mai Allahuakbar Ke Alawa Jo Lafz Hai Wah Mana Nahi Balki Fayde Wale Hai Jiska Bayan Daleel No. 2 Mai Ho Cuka Hai....

ﺇﻳﺬﺍﻥ ﺍﻷﺟﺮ ﻓﻲ ﺃﺫﺍﻥﺍﻟﻘﺒﺮ

📚{Idhanul Ajr fi Adhan il Qabr page.11-12}


What is Bid'at??? Bid'at ka bayan

Bid’at-E-Hasanah Aur Sunnat Se Us Ki Asl Ke Saboot Ka Bayan..

Part 1

Hadis 1
Tarjuma “Hazrat Abdullah Bin Mas’ood RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Farmaya : Jis (chez) Ko musalman Achchha Jaane Wo ALLAH Ta’ala K Nazdeek Bhi Achchha Hai..
Aur Jis chez Ko Musalman Bura Jaane Wo ALLAH Ke Nazdeek Bhi Bura Hai.”

Refrence
Bazzar Al-Musnad, jild 5 page no 212, Raqam-1816,

Tabarani Al-Mu'jam-ul-Kabir, jild 9 page no 112, Raqam-8583,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, jild 1 page no 379, Raqam-3600,

Hakim Al-Mustadrak, jild 3 page no 83, Raqam-4465,

Aboo Nu'aym Hilyat-ul-Awliya',jild 1 page no 375,

Bayhaqi Al-Mudkhal Ila As-Sunan-ul-Kubra, jild 1 page no 114,
& Al-I'tiqad, jild 1 page no 322,

Tayalisi Al-Musnad, jild 1 page no 33, Raqam-246,

Ibn Rajab Jami'-ul-Uloom Wal-Hikam, jild 1 page no 254.]

Hadees 2
Tarjuma “Hazrat Bilal Bin Haaris RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Mere Baad Koi Aiysee Sunnat Ki Jo Murda Ho Chuki Thi. To Us Ke Liye Bhi Utna Hee Ajar Hoga Jitna Us Par Deegar Amal Karne Waalon Ke Liye. Baawajood Is Ke Un Ke Ajro Sawaab Me Koi Kamee Nahin Aayegi Aur Jis Ne Gumraahi Ki Bid’at Nikaali Jise ALLAH AzzaaJalla Aur Us Ka Rasool SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Pasand Nahin Karte To Us Par Utana Hee Gunaah Hai Jitna Us Buraayi Ka Deegar Irtikaab Karne Waalon Par Hai Aur Us Se Un Ke Gunaahon Ke Bojh Me Bilkul Kamee Nahin Aayegi.”

رواه الترمزي وابن ماجه. وقال الترمزي : هذا حديث حسن. -

Tirmidhi As-Sunan,
 Jild 5 page no 45, Raqam-2677,

Ibn Majah As-Sunan, jild 1 page no 76, Raqam-209, 210,

Bazzar Al-Musnad, jild 8 page no 314, Raqam-3385,

Tabarani Al-Mu'jam-ul-Kabir, jild 17 page no 16, Raqam-10,

Bayhaqi Al-I'tiqad, jild 1 page no 231,

Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, jild 1 page no 49, Raqam-97.

Cont.


Bid'at-e-hasnah aur sunnat se us ki asal k saboot ka bayan.

Part 2

Hadis 3 :
tarjuma “Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Koi Achchha Tareeqa Jaari Kiya Phir Us Par Amal Kiya Gaya To Us Ke Liye Apna Sawaab Bhi Hai Aur Use Amal Karne Waalon Ke Baraabar Sawaab Bhi Milega. Jab Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee Bhi Na Hogi Aur Jis Ne Koi Bura Tareeka Jaari Kiya. Phir Woh Tareeqa Apnaya Gaya To Us Ke Liye Apna Gunaah Bhi Hai Aur Logon Ke Gunaah Ke Baraabar Bhi Jo Us Par Amal Paira Huwe. Baghair Us Ke Ki Un Ke Gunahon Me Kuchh Kamee Ho.”

رواه الترمزي. وقال أبو عيس : هذا حديث حسن صحيح. -


Refrence.
Tirmidhi As-Sunan, jild 5 page no 43, Raqam-2675,

Asqalani Fat'h-ul-Bari, jild 13 page no 302,

Mubarakpuri Tuhfat-ul-Ahwadhi, jild 7 page no 365,

Ibn Hazm Al-Muhalla, jild 8 page no 116,

& Al-Ihkam Usul-ul-Ahkam,jild 1 page no 11


Hadis 4.
Tarjuma “Hazrat Aboo Hurairah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jis Ne Hidaayat Ki Taraf Bulaaya Us Ke Liye Us Raaste Par Chalne Waalon Ki Misl Sawaab Hai Aur Un Ke Sawaab Me Se Kuchh Bhi Kam Na Hoga Aur Jis Ne Gunaah Ki Daawat Di Us Ke Liye Bhi Utna Gunaah Hai Jitna Us Bad Amali Ka Murtakib Hone Waalon Par Hai Aur Un Ke Gunaahon Me Bhi Koi Kami Nahin Hogi.”

Refrence
Muslim As-Sahih, jild 4 page no 2060, Raqam-2674,

Tirmidhi As-Sunan, jild 5 page no 43, Raqam-2674,

Aboo Dawood As-Sunan, jild 4 page no 201, Raqam-6409,

Ibn Majah As-Sunan, jild 1 page no 75, Raqam-205, 206,

Ibn Hibban As-Sahih, jild 1 page no 318, Raqam-112,

Darimi As-Sunan, jjild 1 page no 141, Raqam-513,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, jild 2 page no 397, hadees 9149,

Aboo Awanah Al-Musnad, jild 3 page no 494, Raqam-5823,

Aboo Ya'la Al-Musnad, jild 11 page no 373, Raqam-6489,

Lalka'i I'tiqaad Ahl-us-Sunnah, jild 1 page no 52, Raqam-06,

Ibn Abi Asim As-Sunnah, jild 1 page no 52, Raqam-113.

Cont...


Bid'at-e-hasnah aur sunnat se us ki asal ka saboot ka bayan..

Part 3

Hadis 5
Tarjuma “Hazrat Jareer Bin Abdullah RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Farmaya : Jo Shakhs Islam Me Kisi Nek Kaam Ki Buniyad Daale To Us Ke Liye Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Sawaab Milta Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Ka Sawaab Bhi Hai. Baghair Is Ke Ki Un Ke Sawaab Me Koi Kamee Ki Jaaye Aur Jis Ne Islam Me Kisi Buri Baat Ki Ibtida Ki To Us Par Us Ke Apne Aamaal Ka Bhi Gunaah Hai Aur Jo Log Us Ke Baad Us Par Amal Karege Us Par Un Ka Gunaah Bhi Hai Baghair Is Ke Ki Un Ke Gunaah Me Kuchh Kamee Ho.

Refrence
Muslim As-Sahih, jild 2 page 704,
Raqam-1017, & jild 4 page no 2059, Raqam-1017,

Nasa'i As-Sunan, jild 5 page no 75, Raqam-2554,

Ibn Majah As-Sunan, jild 1 page no 74, to 75, Raqam-203, 206, to 207,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, jild 4 page no 358,

Darimi As-Sunan, jild 1 page no 140, Raqam-512,

Bazzar Al-Musnad, jild 7 page no 366, Raqam-2963.

Hadis 6 :
Tarjuma “Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Abdul Qari Riwayat Karte Hain Ki Mai Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Saath Ramzan Ki ek Raat Masjid Ki Taraf Nikla To Log Mutfarriq They Koi Tanha Namaz Padh Raha Tha Aur Koi Giroh Ke Saath. Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya : Mere Khayal Me Unhein ek Qaari Ke Peechhe Jama Kar Diya Jaaye To Achchha Hoga Pas Hazrat Abee Bin Qa’ab RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ke Peechhe Sab Ko Jama Kar Diya Gaya Phir Mai ek Doosri Raat Ko Un Ke Saath Nikla Aur Log Apne Qaari Ke Peechhe Namaz Padh Rahe They. Hazrat Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya : Ye Kitni Achchhi Bid’at Hai,
Aur Jis Namaz (Tahajjud) Se Yeh Soye Rehte Hain Us Se Behtar Hai Jis Ka Qayaam Karte Hai
(Ya’ni Taraweeh Se). Muraad Hai Aakhir Raat Jab Ki Log Raat Ke Pehle Pahar Qayaam Karte They.
(Ya’ni Tahajjud Kee Namaz Taraweeh Se Afzal Hai.)”

Refrence.
Bukhari As-Sahih, jild 2 page 707, Raqam-1906,

Malik Al-Muwatta, jild 1 page no 114, Raqam-650,

Ibn Khuzaymah As-Sahih, jild 2 page no 155, Raqam-155,

Abd-ur-Razzaq Al-Musannaf, jild 4 page no 258, Raqam-7723,

Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, jild 12, page no 493, Raqam-4378,

& Shuab-ul-Iman, jild 3 page no 177, Raqam-3269.

Cont


Bid'at-e-hasnah aur sunnat se uski asal k saboot ka bayan.

Part 4

Hadis 7 :
Tarjuma “Hazrat Aarij RadiyAllahu Ta’ala Anhu Riwayat Karte Hain Ki Maine Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Se Namaz-e-Chaasht Ke Mut’alliq Sawal Kiya Jab Wo Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ke Huzara-E-Mubarak Kee Pusht Se Tek Lagaaye Baithe They.
To Unhone Farmaya : Bid’at Aur Bahut Hee Achchhi Bid’at Hai

 رواه ابن أبي شيبة بإسناد صحيح.

Refrence.
Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, jild 2 page no 172, Raqam-7775,

Asqalani Fat'h-ul-Bari, jild 3 page no 52, Raqam-1121.

Hadis 8 :
Tarjuma “Hazrat Mujahid RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Hai Ki Mai Aur Hazrat Urwa Bin Jubair RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Masjid Me Daakhil Huway To Waha’n Hazrat Abdullah Bin Umar RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Huzare Ke Paas Baithe Huwe They Aur Log Masjid Me Chaast Ki Namaz Padh Rahe They. Hum Ne Un Logon Ki Namaz Ke Mut’alliq Poochha To Unhone Farmaya : Bid’at (Hasnah) Hai”

Refrence
Muttafaque Alayh - Bukhari As-Sahih, jild 2 page no 230, Raqam-1685,

Muslim As-Sahih, jild 2 page no 917, Raqam-1255,

Ibn Khuzaymah As-Sahih, jild 4 page no 358, Raqam-3070,

Ibn Hibban As-Sahih, jild 9 page no 269, Raqam-3945,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, jild 2 page no 128, Raqam-6126,

Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, jild 2 page no 172, Raqam-616,

Ibn Rahawayh Al-Musnad, jild 3 page no 614, Raqam-1187,

Asqalani Fat'h-ul-Bari, jild 3 page 52, Raqam-1121,

Mubarakpuri Tuhfat-ul-Ahwadhi, jild 4 page 5,

Sharh Al-Nawawi Ala Sahih Muslim, jild 8 page no 237,

Zayla'i Nasab-ur-Rayah, jild 3 page no 94.

KAPDA MOD KAR NAMAZ PADHNA KAISA? ??

ALJAWAB
Kapda mod kar namaz padhna jayez nahin maslan pent ka paaincha mod kar namaz padhna ya aasteen aadhi kalai se oopar chadha kar namaz padhna wagairah to is tarah namaz padhne se namaz makrooh e tahreemi wajibul i'aadah hogi ya'ni aisi namazo ko phir se padhna wajib hai
HADEES SHAREEF MEN HAI
1) Hazrat e abdullah ibn e abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: mujhe 7 a'aza par sajdah ka hukm mila aur ye bhi keh baal aur kapdo ko na modun
(bukhari sharef jild 1 safah 113 /Muslims shareef / nasai /ibn e majah wagairah)
2) hazrat e abdullah ibn e abbas رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: mujhe hukm mila keh main namaz men baal aur kapde na sametun
(Bukhari shareef jild 1 safah 113 / muslim shareef/ ibn e maajah wagairah)
aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imama ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه irshad farmate hain
Zaroor makrooh hai aur sakht o shadeed makrooh hai sahaah e sittah men hai rsoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم farmate hain امرت ان اسجد علي سبعة اعضاء وان لا اكف شعرا وثوبا sahihain men rasoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم farmate hain امرت ان لا اكف الشعر والثياب tamam mutun e mazhab men hai كره كف ثوبه fathul qadeer o bahrurraaiq men hai يدخل ايضا في كف الثوب تشمير كميه durr e mukhtar men hai كره كف اي رفعه ولو لتراب كمشمركم او ذيل raddul muhtar men hai جررالخيرالرملي ما يفيد ان الكراهة فيه تحريمة
(Fataw razviyyah jild 3 safah 423)
Dosri jagah irshad farmate hain
rasoolullah sallallahu ta'ala alaihi waaallam ne namaz men kapda sametne ghurasne (khosne) se mana farmaya
(fatawa razviyya jild 3 safa 446)
Huzoor sadrushshari'ahbadruttariqah عليه الرحمة والرضوان irshad farmate hain
koi aastin aadhi kalai se ziyadah chadhi hui ya daman samete namaz padhna bhi makrooh e tahreemi hai khwah peshtar se chadhi ho ya namaz men chadhai ho
(Bahar e shari'at hissa 3 safah 166)
KAPDA MODNE KI SOORATEN
1) pent ya pajama ka paaincha bahar ki taraf modna
2) pent ya paajama ka paaincha andar ki taraf modna
3) pent ya paajama kamar ke paas se modna
4) daman modna
5) shirt IN karna
6) aastin ka aadhi kalai se ziyadah chadhi hona
Ye sab sooraten karahat e tahreemi ki hain aur in sab sooraton men namaz makrooh e tahrimi wajibul i'aadah hogi ya'ni aisi namazon ko phir se padhna wajib hai
Lihaza aap logon se guzarish hai keh in masaail par tawajjuh den aur apni namazen karahat se bachaaen
NOTE kapda modne ki jo suooraten is post men zikr ki gayi hain in ke ilawah aur bhi sooraten kapda modne ki hain yahan sirf un sooraton ka zikr hai jin men aksar awam mulaawis hain
Jo log pent ya shalwar izaar takhne se neeche pahante hain agar takabbur ki niyyat se hai to ye bhi haraam hai aur is soorat men bhi namaz makrooh e tahreemi hogi
hadees shareef men hai
hazrat e abdullah ibn e umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: jis ne az raah e takabbur apna libas zameen par ghaseeta allah تعالى qiyamat ke din uski taraf nazr e rahmat nahin farmaayega
(Abu daood jild 2 safah 564/ ibn e maajah wagairah)
Aur dosri riwayat men hai keh sarkar e aqdas صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: jo tahband takhno se neeche ho oh aag men hai
(Bukhari shareed jild 2 safah 861/ nasai / ibn e maajah wagairah)
Aur ek hadees sharef men hai huzoor e akram صلی اللہ تعالی عليه وسلم irshad farmate hain: allah تعالى us mard ki taraf nazr e rahmat nahin farmaayga jis ne takabbur ki niyyat se kapda zameen par ghaseeta
(bukhari shareef jild 2 safah 861/ ibn e maajah jild 2 safah 264/ muslim shareef/ tirmizi shareef attargeeb o wattarhib /wagairah)
AUR AGAR TAKABBUR KI NIYYAT SE NA HO TO NAMAZ MAKROOH E TANZEEHI HOGI
HADEES SHAREEF MEN HAI
Hazrat e abdullah ibn e umar رضى الله تعالى عنهما se riwayat hai keh rasoolullah صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: jis ne takabbur ke irade se kapda zameen pe ghaseeta allah تعالى qiyamat ke din uski taraf nazr e rahmat nahin farmayega , saiyyiduna hazrat abubakar siddiq رضى الله تعالى عنه ne arz ki: ya rasoolallah! عليك الصلوة والسلام mere tahband ka kona kabhi kabhi dhila ho kar neecha ho jata hai magar ye keh main iski poori dekh bhaal rakhta hun huzoor nabi e kareem صلی اللہ تعالی عليه وسلم ne irshad farmaya: tum un logo men se nahin jo az raah e takabbur aisa karte hain
(Bukhari shareef jild 2 safah 860/abu daaud)
aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imama ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه irshad farmate hain
Izaar ka gatto se neeche rakhna agar baraah e takabbur ho haraam hai aur is soorat men namaz makrooh e tahreemi warna sirf makrooh e tanzeehi aur namaz men bhi uski gaayat khilaf e aula sahih bukhari shareef men hai siddiq e akbar رضى الله تعالى عنه ne arz ki ya rasoolallah mera tahband latak jata hai jab tak main uska khas lihaz na rakhun farmaya انت لست ممن يصنعه خيلاء tum un men nahin ho jo baraah e takabbur aisa karen
(Fatawa razviyyah jild 3 safah 448)
Lihaza aap logon se iltija hai keh mazkoorah masaail par amal karen aur apni namazo ko karahat se bachaayen
والله تعالي اعلم
DILSHAD AHMAD QADRI RAZVI
Mahim shareef mumbai

Mazar Banane Ka Saboot Aur Sahaba Aur Ahle Bait Ki Mazaro Par Bulldozer Chalane Wale Chupe Hue Kafir (Wahabiyo) k Muh par Haq Ka Tamacha

 SAHIH BUKHARI,JILD:1,KITABUL-JANAEEZ ,BAAB MAA JAAHAA FEE KABARINNABIYE WA ABEE BAQARIN WA UMAR ME HAI HAZRAT URAWAH RADIALLAHO TAALA ANHO FARMATE HAI KI "WALEED IBNE ABDUL MAALIK KE ZAMANE ME RAUZ-E-RASUL ALLAH SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM KI EK DIWAAR GIR GAYI" "FA'AKHAZU FEE BENAA'EEHI" "HAZRAT WALEED NE HUKUM DIYA K TAMEER KARO SUB USSE BANNANE ME MASHGUL HUYE" "FABADAT LAHUM QADAMUN FAFAZA'U WA JANNOO ANNAHAA KADAMUNNABEEYE ALAIHISSALAAMU" "EK QADAM ZAHIR HO GAYA TO LOG GHABRA GAYE OR SAMAJHE KI YEH HUZUR ALAIHISSALAATU WASSALAAM KA QADAM-E-PAK HAI" "HAZRAT URAWAA RADIALLAHO TAALA ANHO NE KAHA KI "ALLAH KI KASAM YE HUZUR ALAISALAAM KA QADAM NAHI HAI,YEH HAZRAT UMAR-E-FAROOQ RADIALLAHO TAALA ANHO KA QADAM HAI"" PUCHA KITNE SAAL BAAD NIKLA KAHA K KAI SAAL BAAD NIKLA FARMATE PAIR AISA THA JAISA ZINDO KA HOTA HAI

 IS HADITH SE MALUM HUA KI MAZAAR-E-MUBARAK AAQA SALLALLAHO ALAIHE WASALLAM K SAHABA KI SUNNAT HAI AUR AMBIYA SAHABA AUR AULIYA APNI QABRO ME ZINDA HAI.

 SAHIH BUKHARI,JILD:1,KITABUL-JANA'EEZ OR MISHKAAT BAABUL-BUKAA ALAL-MAIYAT ME HAI KI "HAZRAT IMAM HASAN IBNE ALI RADIALLAHO TAALA ANHO KA INTEQAAL HO GAYA" "ZARABAT IMRAATUHUL-KUBBATA ALAA KABAREHEE SANATANA" "TO UNKI BIWI NE UNKI KABAR PAR EK SAAL TAK KUBBAA DAALE RAKHA" YE BHI SAHABA IKRAM KE ZAMANA ME SABKI MAUJUD ME HUA.KISI NE INKAAR NAHI KIYA OR UNKI BIWI WAHA EK SAAL TAK RAHI FIR GHAR WAPAAS AAGAYI JESA HADITH ME HAI.

 IS HADITH SE MALUM HUA MAZAR PAR KUBBAA BANANA SAHABA KI SUNNAT HAI

 HAZRAT ABU JAUZA RADIALLAHO TAALA ANHO NE BAYAAN KARTE HAI KI "EK MARTABA MADINE SAKHT SUKHA PAD GAYA,LOGO NE UMMUL MOMINEEN HAZRAT AAISHA RADIALLAHO TAALA ANHO SE SHIKAYAT KI" HAZRAT AAISHA RADIALLAHO TAALA ANHO NE FARMAYA "RASUL ALLAH SALALAHO TAALA ALAI WASSALAM KI KABAR-E-ANWAR KO DEKHO OR ISKE THIK UPAR AASMAAN KI JAANIB CHHAT ME SURAAKH KARDO,YEHA TAK KI KABAR-E-ANWAR OR AASMAAN K BICH KOI PARDA NA RAHE" LOGO NE ESA HI KIYA TO IS ZOR KI BAARISH HUYI KI KHUB SABAZA UGAA HARIYAALI CHHAH GAYI OR UTH MOTE HO GAYE YEHA TAK KE INKI CHARBI FATTI JAATI THI OR IS SAAL KO KHUSHALI KA SAAL KAHA JAANE LAGA"" [MISHKAAT,BAABUL QARAAMAAT,SAFA: 545]

 IS HADEES SE MAALUM HUA K MERE AAQA SALALAHO ALAI WASSALAM KI MAZAAR-E-MUBARAK PAR CHHAT US WAQT BHI MAUJUD THI. AGAR MAZAAR BANNANA SHIRK O BIDDAT HOTA TO KYA RASUL-E-AAZAM SALALAHO ALAI WASSALAM K GULAM SHIRK KARTE RAHE BIDDAT KARTE RAHE MAAZALLAH YE MAZAAR PE CHHAT OR YE KUBBA BANNA AGAR SHIRK O BIDDAT HOTA TO RASUL-E-AAZAM K GULAM KABHI ESA NA KARTE. YE MERE RASUL ALLAH SALALAHO ALAI WASSALAM K SAHABA KA MAZAAR BANNANA IS BAAT KI DALIL HAI KI MAZAAR BANNANA SHIRK O BIDDAT NAHI BALKI RASUL-E-AAZAM KE SAHABA IKRAM KI SUNNAT HAI...

MUNAFIQO AUR KAFIRO KO BURA KAHNA KAISA???

Aaj hamare kuch musalman ye kehte hain ki Nabi alaihesalam kabhi kisi kafir ko bhi bura nahi kehte the, aur unke sath bhi achha akhlaq istemal karte the,Isliye Kafiro/ Wahabiyo ko bhi bura nahi kehna chahiye aur unke sath bhi achha akhlaq dikhana chahiye.Aur inhe apna Islami bhai kehte hain,..Pehle hum apke samne Nabi alaihesalam ke akhlaq wale character ki ek jhalak kam alfazo me pesh karte hain:.1: Ek aurat Nabi alaihesalam par roz kooda phekti thi, par Nabi alaihesalam usey kuch na kehte,ek din jab wo aurat bimar hogayi to aap uski mizaj pursi ke liye uske ghar gaye,bas ye akhlaq dekhkar wo Musalman ho gayi.2: Ek aurat ne Nabi alaihesalam ko kabhi dekha nahi tha,bas suna tha ki jo bhi'Muhammed'alaihesalam ka naam sunta hai, wo musalman ho jata hai, bas isi darr se wo apna ilaqa chhod kar jane lagi,to khud Nabi alaihesalam raste me mile, aur uska saman uthakar uski manzil tak pahuchaya,fir us aurat ne kuch paise dena chaha to aapne lene se mana kar diya,to aurat ne pucha kam se kam apna naam bata do?Farmaya'Muhammad'.Bas ye akhlaq dekh kar wo bhi musalman ho gayi.3: Ek Kafir Nabi alaihesalam ke ghar mehman bankar hazir hua,to aapne use apne ghar rakkha,aur khatir tawazo farmaya, raat me us kafir ne apke bistar pe Najasat kar di,aur subah hote hi bhag gaya, fir kuch der ke baad wapas aaya to dekha,Nabi alaihesalam khud apne hatho se uski najasat ko dho rahen hain.Bas ye akhlaq dekh kar wo bhi musalman ho gaya, ..AB DUSRI TARAF DEKHIYE:.HADEES: Rasoolullah alaihesalam apne Sahaba se farmate hain,'Kya Faajir ko bura kehne se parhez karte ho?Log inhe kab pehchanen ge?Faa-jir ki buraiya bayan karo taki log isse bachen. (Kanzul Ummal S-338).HADEES: Nabi alihesalam nefarmaya, Unhe apne se door rakho aur unse door bhago,kahin wo tumhe gumrah na kar den(Muslim S-10 Baab un Noha).QURAN: Tum me se jo unse dosti karega, wo unhi me se hai. (Maidah 51) . HADEES: Jo kafiro se mohabbat kare, wo unhi me se hai.(Musnad Ahmed,7:209). Ek Shaks ke akhri waqt par logo ne kalma padhne ko kaha, to wo bola ye2 shaks(Farishte)khade keh rahe hain ki Tu unke pas baithta tha jo.Abu Bakrr.aur H.Umar ko bura kehte the, ab hum tujhe kalma nahi padhne denge. (Sharahus Sudur37).HADEES: Jab fitne zahir honge,aur aise me Aalim apne Ilm ko na zahir kare, to ispe Allah aur iske farishte aur tamam insano ki laanat hai,aur Allah aise insan ke na farz qubul kare, na nafil. (Bukhari 2:1084).HADEES: Jab tum kisi burai ko dekho, to use apne hath se rok do, ye na ho sake to usey zuban se bura kaho,ye bhi na ho to usey Dil se bura jano, aur ye Eiman ka sabse chota darja hai.(Muslim, Kitabul iman) .HADEES: Rasoolullah ne Abu Jehel, Utba bin rabia,Shaiba bin Rabia ka naam lekar inke liye baddua farmayi. (Bukhari, Kitabul Wuzu).
HADEES: Ek shaks Masjide Nabwi me namaz padh raha tha, fir bhi Rasoolullah ne apne Sahaba ko hukm diya ki ise qatl kar do,(Khasaisul Kubra S-229) .
HADEES: maale Ghanimat ke waqt ek shaks ne Rasoolullah se kaha, Adl(Insaf)ki jiye, aapne farmaya, agar mai Adl na karu to kaun karega, bas ye sunkar H.Umar ne farmaya,Huzur, aap ijazat dijiye, mai iski gardan maar du.
 (Bukhari 2:621)
HADEES: Nabi alaihesalam ne Masjid-e-Nabwi se 300 logo ko naam lekar munafiq kaha aur masjid se bahar nikal diya. (Muslim J-1 Kitabul Fitan) .
HADEES: Ek shaks ki biwi Nabi alaihesalam ki shan me kami bayan karti, to isper uske shauhar ne use qatl kar diay, Nabi alaihesalam ne farmaya,iska qatl maaf hai.(Abu Dawood, 1:599) . HADEES: H.Abu Bakr Siddiaq ne farmaya, Nabialaihesalam ke gustakho ke liye qatl ka hukm hai.(Nasai 2:153). HADEES: Kaab Ibne Ashraf Yahudi ek shayar tha, usne Nabi alaihesalam ke khilaf kuch alfaz bol diya,Nabi alaihesalam ne qatl ka hukm farmaya. (Hashiya Bukhari, 2:576).. Ghaur kijiye, Nabi alaihesalam ne achha akhlaq sirf unke samne pesh kiya, jo Islam ko jante nahi the, fir Nabi alaihesalam ka achha akhlaq dekhkar Islam qubul karliya,Lekin jab kisi ne Islam ko janne ke baad bhi Islam me Kharabi paida karne ki koshish ki,to Nabi alaihesalam ne unke liye bad dua bhi farmai, unhe apni Masjido se bhi nikala,Munafiq kaha, aur Qatl ka hukm bhi de diya. Sahaba ne qatl bhi kiya.. Isliye pehle to hum kisi bhi Wahabi ko akhlaq se samjhate hai, par jab wo manne se inkar karta hai aur Rasoolullah ki gustakhi karta hai to uspar Laanat karna aur uski burai sabke samne batana zaruri hai,taki log use pehchan le.. Aye Musalmano, jab koi Chor tumhare ghar me chori karta hai tab tum usey chor kehte ho,saza dete ho,par jab koi Rasoolullah ke khilaf bolta hai to tum Akhlaq dikhate ho???.. Jab Sahaba ne Gustakho ko qatl kiya to us waqt akhlaq kyun nahi dikhaya? Aye Musalmano, Kya Sahaba ke pas akhlaq nahi tha?Ya fir tum apne Akhlaq ko Sahaba se behtar samajhteho? . AYE MUSALMANO TUMHARI GHAIRAT KO KYA HO GAYA???

AALA HAZRAT SARKAAR RAZIALLAHUANHO OR RADDE B'DAT

MASLAKE ALA HAZRAT

📛SARKAR E AALA HAZRAT Imam Ahmad Raza Bareillvi
RadiALLAHU Anhu ka aqeeda kya hai?

📛inbaato pe dhyan dijiye aur Sunniyat ko badnaam na kijiye.

📛Ab kuchh aisi baatein gaur se padhkar samajh len Jis me Imame Ahlesunnat Ahmad Raza Khan rehmatullahi alaihine apni kitaabo me buri bid’ato ko radd kiya hai aur unse bachne ka hukm diya hai....

SHARE .........

📌📌📌📌📌📌

📛 1. Sajda ALLAH ke siwa kisi ke liye nahi. Gairullah ko Sajda e Ibadat Shirk Aur Sajda e Ta’azimi Haraam hai.

(Azzubdatuz Zakiyya
 Safa-5)


📛2. Raoza e Anwar ka na Tawaf karo, na
Sajda,na itna jhuko ke Rooku ke barabar Ho.
Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ta’azeem
unki Ita'at me hai.

(Fatawa Razawiya,
 10 /769)

📛3. Mazar ka Tawaf ba-niyyat Ta’azeem
najaiz hai. Tawaf sirf ka’abe ke liye makhsus hai.

(Fatawa Razawiya, 4/08)

📛4. Khabardar (Huzoor sallallahu alaihi
wasallam ke Raoze ki) jaali ko bosa dene ya
haath lagane se bacho ke ye Khilafe adab hai,
Balke 4 haath ke faasle se zyada qareeb na jaao.Ye un ki rehmat kya kam hai ke apne huzur
bulwaya.

(Fatawa Razawiya,10 /765)

📛5.Farzi mazaar banana aur us ke saath asl ka sa muamla karna najaiz Aur Bid'at hai.

(Fatawa Razawiya, 9/425)

📛6. Nasha haraam hai aur Nashe ki cheeze
peena jis s Nashebaazo ki munasibat ho ye bhi
gunah hai.

(Ahkam e Shariat, Jild -2)


📛 7.Mazaamir ya’ni Aalat e lahw o la'ab (Musical instruments) bila shuba haraam hain. Jin ki hurmat Auliya aur Ulema ke kalimaat me
wazeh hai. Unke sunne sunane ke Gunah hone me shak nahi. Aur Saadaat e Chisht ki taraf unki nisbat iftera hai.

(Fatawa Razawiya, 10/54)


📛 8.tawaifo ka Naach be-shak Haraam hai. Be-qaid jaahilo ne ye ma’asiyat phelayi hai.

(Fatawa Razawiya, 29/92)

📛9. Aatish baazi israaf hai aur Israaf haraam hai, Khane ka aise lutana be- adabi Aur Be-adabi mehroomi hai, Maal ka israf hai. Roshni agar masaliha e shariya Se khali ho to wo bhi israaf hai.

(Fatawa Razawiya, 24/112)

📛10. Qabro ki taraf Shama le jaana ye Bid'at aur Maal ko zaaya karna hai.

(Al Bareequl
Manaar, Safa -9)

📛 11. Mazar par jab chadar majood ho, Kharab na hui ho,Badalne ki haajat nahi to chaadar chadhana Fuzulkharchi hai, Balke jo rakam is me sarf karen,wo ALLAH ke wali ko isaale sawab
karne ke liye kisi mohtaj ko den.

(Ahkaam e
Shariyat, Jild -1/42)

📛 12. Kisine agar Taaziye par Mannat maani to ye Nazar baatil aur najaiz hai.

(Fatawa Razawiya,
24/501)

📛 13. Najaiz baat ka tamasha dekhna bi najaiz hai, Jis tarah bandar nachana.

(Malfuzat,
Safa -286)

📛14. (Urs ka din muqarrar karne me maslihat)
:
Auliya ki arwahe tayyiba ko unke wisal ke din Quboor e kareema ki taraf tawajjoh zyada hoti hai, Chunache wo waqt jo khaas Wisaal ka hai, Akhaz e Barakat ke liye zyada munasib hota hai.

(Malfuzat, Safa -383)

📛15. (Mazaar par Dua ka tareeqa) :

 Fatiha ke baad Sahibe mazaar ke Waseele se Allah se Dua karen Aur apni jaaiz murad pesh karen. Phir Salam karte hue wapis aayenMazaar ko na haath lagaen, Na Bosa den. Tawaf bil ittefaq Na- jaaiz hai Aur Sajda Haraam hai.

(Fatawa
Razawiya, 9/522)

📌📌📌📌📌📌📌

📛 GUZARISH: mere azeez SUNNI BHAIYO HAME TALIMATE SHARIAT PE CHALNA ZARURI HAI JIS
SE KOI BAD MAZHAB HUM PAR UNGLI NA UTHA SAKE ISKI SHURUAT HAME APNE GHARO SE KARNA CHAHIYE..
------------------------
📛 IN'SHA 'ALLAH ul azeem Isko aur bhi apne dosto ko bheje taaki wo bach sake.

Hum Ala Hazrat ko Kyun Maante Hai?

Allah Ta'ala Quran e paak mein farmata hai- "BESHAK TUMHARA MADADGAR ALLAH HAI OR USKA RASOOL OR MOMIN HAI" (SURE MAAEDA AYAT NO 55)
SUNLO BESHAK ALLAH KE WALIYO'N PAR NA KUCH KHAUF HAI NA KUCH GHUM. (SURE YUNUS, AYAT NO 61)

*Hadees e Qudasi *ALLAH Apne Nek Bando key Mutalik farmata Hai, me uske kaan Aur Aankhe Ho Jata Hu jisse wo Dekhta Hai Aur Sunta Hai


[ Bukhari shareef, Jild 2, Page 963 ]*

Kamil Momin ki Firasat Se Daro, Beshak Wo ALLAH key Noor Se Dekhta Hai


[ Tirmizi Shareef, Jild 2, Page 614 ]�

Pata Chala ki Apne Wali(Kaamil Momin) ki Shaan khud Allah aur uske Rasul(Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Bayaan Farmai..Goya ki unhe Manne ka Zehen Diya... Ab Sawaal hai ki woh Kaamil Momin Kaun hai?
Hadees-1 "Hubbur Rasooli Sallallaho alaihe wasallam minal Eiman" ."Rasool Sallallaho alaihe wasallam ki Mohabbat Eiman hai."

(BUKHARI,J-1,KITABUL EIMAN, BAAB-8)

Hadees-2 Hazrat Abu Hurairah (Radiyallahu Anhu) se riwayat hai ki Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya,'Tum me se kisi ka Eiman us waqt tak kamil nahi ho sakta, jab tak ki wo apne Baap aur apni aulado se zyada mujhse mohabbat na kare'.

(Bukhari,Vol 1, Book 2, H.14).

Pata chala ki Kamil Momin Wahi hai jo Sacha Ashiq e Rasool(Sallalllahu Alaihi Wasallam) hai Aur usi ke Ta'alluk se Quran o Hadees mein Fazeelatein Aayi..

Ab Ala Hazrat Imam Ahmed Raza khan (Radi Allahu An hu) ki Zindagi ka Jaiza le to Pata Chalta hai ki Aapka Har Lamha Ishq e Rasool mein Duba huwa tha...Aapke Fatawe aur Aapki Kitaabein is baat ki Gawaahi Deti hai ki Aap ek Sache Aashiq e Rasool(Sallallahu Alaihi Wasallam) the..

Hadees- Nabi Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya:Allah Ta'ala har 100 saal per meri Ummat me ek aise Shaks ko paida karega jo Islam ko taaza kar dega.


(Mishkaat Sharif, Kitabul Ilm, Rawahul Darmi)

Isi ko Mujaddid kehte hai Jo Din ko Saaf Suthra kar deta hai Yani pichle 100 saal mein Jo Fitne aur Baddeeniyat jo Deen mein Dhakhil huwi thi uska woh Radd karta hai aur use Deen se bahar kar deta hai aur jo Cheezein Asl thi Jo deeniyat se nikal chuki thi use fir Deen mein Daakhil kar deta hai.... Is Hadees ke Tehet 14vi Sadi ke Mujaddid(Islam ko taaza karne wale) Bila shubaha Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan(Radi Allahu Anhu) hi Hai kyunki Pichle 100 saal mein Deen mein Daakhil huwe Fitno ka Aapne Zabardast Radd kiya Aur Musalmaano ke Imaan o Aqeede ki Hifazat farmai... Alahazrat Ne TAJDEED-WA-AHAYAA-E-DEEN Ke Liye Tanha Beshumar Fitno Ke Khilaaf Ilmi Or Qalmi Jihaad Kiya Jiski Nazeer Nahi milti


1) Fitna-e-Ghair Muqallidyat
2) Fitna-e-Nechiryat
3) Fitna-e-Najdiyat Wa Wahabiyat
4) Fitna-e-Firqa-e-Ahl-e-Quran
5) Fitna-e-Qadyaniyat
6) Fitna-e-Darul-Nadwah
7) Fitna-e-Falsafa-e-Qadeemah
8)Fitna-e-Waqoo'e-Kijb-e-Baari-e-Ta'aala
9) Fitna-e-Inkaar-e-Shafa'at
10) Fitna-e-Rawaafiz
11) Fitna-e-Motazila
12) Fitna-e-Falsafa-e-Jadeedah
13) Fitnah-e-Inkaar-e-Simaa-e-Mouta
14) Fitna-e-Khilafat-e-Usmaani
15) Fitna-e-Inkaar-e-Khatam-e-Nubuwwat
16) Fitna-e-Khaaksaari Firqa
17) Fitna-e-Tark Qurbani Gaaay
18) Fitna-e-Jawaz Sajda-e-Taazeemi
19) Fitna-e-Adme Jawaaz Meelad-o-Qayam-e-Tazeemi
20) Fitna-e-Inkaar Meraj-e-Jismani
21) Fitna-e-Tark-e-Mawalaat
22) Fitna-e-Aariya Samaj( Shuddhi Karan)
23) Fitnaittihad Anil Mushrikeen
24) Fitna Adme Jawaaz Tazeem Aasaare Muqaddisa
25) Fitna Adm Jawaz Kitabat Bar Kafan
26) Fitna e Touheen Hazrat Ameer Mu'aaviyah RadiAllahanhu
27) Fitna Hukm Darul Harb
28) Fitna Inkar-e-ilm-e-Ghaib-e-Ambiya Wa Auliya
29) Fitna Inkar-e-Hayat-e-Ambiya
30) Fitna Jawaz Taziya Daari
31) Fitna Jawaz Sima Ma Mazameer
32) fitna Bar Azaan-e-saani
33) Fitna Inkaar Azaan-e-Qabr
34) Fitna Adme Jawaz Mu'aaniqa Wa Musafaha-e-Eid
35) Fitna Adme Jawaz Tameerat-e-Mazaraat-e-Auliaa
36) Fitna Adme Jawaz Taqbeel-e-Ab'hameen
37) Fitna Inkar-e-Eimaan Abwen Kareemen Al Nabi
38) Fitna Jawaz Zakaat Bara-e-sadaat-e-Kiraam
39) Fitna Adme Jawaz Chiraghan Bar Mazarat-e-Suwaliheen
40) Fitna Hillat-e-Ashya Nasha Aawar
41) Fitna Hillat-e-Akul Zaagh
42) Masla-e-Qirtaas Daraahim
43) Fitna-e-Masawaat Anin Nabi
44) Fitna-e-Harkat-e-Zameen
45) Fitna Khurooj-e-Nisaa Baraye Ziyarat-e-Quboor
46) Fitna imkaan-e-Zil-e-Nabi
47) Fitna Salaat Janazatul Ghayeb
48) Fitna Nikah Maa Murtadeen
49) Fitna Adme Jawaz Ta'ayyun-e-Fatiha
50) fitna Tanqees-e-Risalat
51) Fitna Adme Aitaqaad Ikhtiyaraat-e-Ambiya Wa Auliya
52) fitna Nifaaz-e-Shirk Dar Baab-e-Nida Wa Istighasa
53) Fitna Nifaaze Shirk Fil Asmaa
54) Fitna-e-Hurmat Akul Rusar
55) Fitna Hurmat Money Order
56) Fitna Khilafat Commety
57) Fitna Tanaza-e-Dar Ruwet-e-Hilal
58) Fitna Farq-e-Bayyan Shariat Wa Tareeqat
59) Fitna Akul Ashya Haram Anil Zabeeha
60) Fitna Hurmat-e-Zabeeha Lil-Auliya

Sub'hanAllah Sub'hanAllah..

Ab Jise Allah ne Apne Deen ki khidmat ke liye Chunliya Aur jiski Fazeelat Quran o Hadees mein Bayaan huwi Aur Jise Allah ne Humara Madadgaar bataya use Na Maane to kise Maane... Beshaq Hum Ala Hazrat ko Quran o Hadees ki Roshni mein hi Humara Rehnuma o Peshwa Maante hai..

Ab Dekhiye kin Jayyed Ulama ne (jo Quran o Hadees ke Mahir Janne wale hai )bhi Ala Hazrat ko Maana hai .. Yeh un Jayyed Arab ke Ulama ke Naam Jo Ala Hazrat ko Apna Rehnuma Maante the Aur unki Kitabo'n ko Ilm o Hidayat ka Azeem khazana..

1. Shaykh Muhammad Sa’eed bin Muhammad Salam Ba Busail
2. Shaykh Ahmad bin Abdullah Abu al Khair Mirdad
3. Shaykh Muhammad Saleh bin Sadiq Kamal
4. Shaykh ‘Ali bin Sadiq Kamal
5. Maulana Shah Muhammad Abdul Haq Alahabadi Muhajar Makki
6. Shaykh Sayyid Muhammad Marzooqi Abu-Hussain bin lAbdur Rehman Hussain
7. Shaykh Umer bin AbuBakr ba Junaid

8. Shaykh Muhammad ‘Abid bin Husain Maliki
9 Shaykh Muhammad ‘Ali bin Hussain Maliki
10. Shaykh Muhammad Jamal bin Muhammad Amir bin Hussain Maliki
11. Shaykh As’ad bin Ahmad Dahlaan
12. Shaykh Abdur Rehman bin Ahmad Dahlaan
13. Maulana Ahmad bin Muhammad Ziaudin Bengali Qadri Chishti
14. Shaykh Muhammad bin Yusaf Khiat

15. Shaykh Muhammad Saleh bin Muhammad ba Fazl
16. Shaykh Abdulkarim bin Hamza Daghastani Hashmi Naji
17. Shaykh Muhammad Sa’id bin Muhammad Yamani
18. Shaykh Muhammad Hamid bin Ahmad bin ‘Auz Jadawi
19. Shaykh Uthman bin Abdus Salam Daghastani

20. Shaykh Sayyid Muhammad Sa’eed bin Muhammad Maghrabi
21. Shaykh Muhammad bin Ahmad Umeri Wasti
22. Shaykh Sayyid Abbas bin Muhammad Ridwan
23. Shaykh Umer bin Hamdan Mahrasi
24. Shaykh Sayyid Ahmad bin Isma‘il Barzanji
25. Shaykh Abdul Qadir Taufiq Shalabi

26. Shaykh Sayyid Isma‘il bin Khalil
27. Shaykh Muhammad Yusuf Afghani
28. Shaykh Muhammad Tajuddin bin Mustafa Ilyas
29. Shaykh Sayyid Ahmad al Jazairi
30. Shaykh Khalil bin Ibrahim Kharbuti
31. Shaykh Sayyid Muhammad bin Muhammad Habib Didawi
32. Shaykh Muhammad bin Muhammad Sosi Khiari
33. Shaykh Muhammad Uzayr Wazir [Alaihim ar-Rahma wa ar-Ridwan]


Maana Arab ne Tujko Yagana.. Gaya Ajam ne Tera Tarana.. Maane hai Tujko Saara Zamana... Haami e Sunnat Ala Hazrat.